وہ زمانہ نظر نہیں آتا
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 11 sher · Roman Urdu ke saath
vo zamāna nazar nahīñ aatākuchh Thikānā nazar nahīñ aatā
ishq dar-parda phūñktā hai aagye jalānā nazar nahīñ aatā
ik zamāna mirī nazar meñ rahāik zamāna nazar nahīñ aatā
dil ne is bazm meñ biThā to diyāuTh ke jaanā nazar nahīñ aatā
rahiye mushtāq-e-jalva-e-dīdārham ne maanā nazar nahīñ aatā
le chalo mujh ko rāh-ravān-e-adamyaañ Thikānā nazar nahīñ aatā
dil pe baiThā kahāñ se tīr-e-nigāhye nishāna nazar nahīñ aatā
tum milāoge ḳhaak meñ ham kodil milānā nazar nahīñ aatā
aap hī dekhte haiñ ham ko todil kā aanā nazar nahīñ aatā