رمزِ زندگیRamz E Zindagi

بھویں تنتی ہیں خنجر ہاتھ میں ہے تن کے بیٹھے ہیں

Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 16 sher · Roman Urdu ke saath

bhaveñ tantī haiñ ḳhanjar haath meñ hai tan ke baiThe haiñkisī se aaj bigḌī hai ki vo yuuñ ban ke baiThe haiñ
diloñ par saikḌoñ sikke tire joban ke baiThe haiñkalejoñ par hazāroñ tiir is chitvan ke baiThe haiñ
ilāhī kyuuñ nahīñ uThtī qayāmat mājrā kyā haihamāre sāmne pahlū meñ vo dushman ke baiThe haiñ
ye gustāḳhī ye chheḌ achchhī nahīñ hai ai dil-e-nādāñabhī phir ruuTh jā.eñge abhī to man ke baiThe haiñ
asar hai jazb-e-ulfat meñ to khiñch kar aa hī jā.eñgehameñ parvā nahīñ ham se agar vo tan ke baiThe haiñ
subuk ho jā.eñge gar jā.eñge vo bazm-e-dushman meñki jab tak ghar meñ baiThe haiñ vo lākhoñ man ke baiThe haiñ
fusūñ hai yā duā hai yā muamma khul nahīñ saktāvo kuchh paḌhte hue aage mire madfan ke baiThe haiñ
bahut royā huuñ maiñ jab se ye maiñ ne ḳhvāb dekhā haiki aap aañsū bahāte sāmne dushman ke baiThe haiñ
khaḌe hoñ zer-e-tūbā vo na dam lene ko dam bhar bhījo hasrat-mand tere sāya-e-dāman ke baiThe haiñ
talāsh-e-manzil-e-maqsad kī gardish uTh nahīñ saktīkamar khole hue raste meñ ham rahzan ke baiThe haiñ
ye josh-e-girya to dekho ki jab furqat meñ royā huuñdar o dīvār ik pal meñ mire madfan ke baiThe haiñ
nigāh-e-shoḳh o chashm-e-shauq meñ dar-parda chhantī haiki vo chilman meñ haiñ nazdīk ham chilman ke baiThe haiñ
ye uThnā baiThnā mahfil meñ un kā rañg lā.egāqayāmat ban ke uTTheñge bhabūkā ban ke baiThe haiñ
kisī kī shāmat aa.egī kisī kī jaan jā.egīkisī kī taak meñ vo baam par ban-Than ke baiThe haiñ
qasam de kar unheñ ye pūchh lo tum rañg-Dhañg us ketumhārī bazm meñ kuchh dost bhī dushman ke baiThe haiñ
koī chhīñTā paḌe to 'dāġh' kalkatte chale jaa.eñazīmābād meñ ham muntazir sāvan ke baiThe haiñ