کوئی امید بر نہیں آتی
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath
maut kā ek din muayyan hainiind kyuuñ raat bhar nahīñ aatī
aage aatī thī hāl-e-dil pe hañsīab kisī baat par nahīñ aatī
jāntā huuñ savāb-e-tā.at-o-zohdpar tabī.at idhar nahīñ aatī
hai kuchh aisī hī baat jo chup huuñvarna kyā baat kar nahīñ aatī
kyuuñ na chīḳhūñ ki yaad karte haiñmerī āvāz gar nahīñ aatī
dāġh-e-dil gar nazar nahīñ aatābū bhī ai chārāgar nahīñ aatī
ham vahāñ haiñ jahāñ se ham ko bhīkuchh hamārī ḳhabar nahīñ aatī
marte haiñ aarzū meñ marne kīmaut aatī hai par nahīñ aatī
kaaba kis muñh se jāoge 'ġhālib'sharm tum ko magar nahīñ aatī