مسجد قرطبہ
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath
Silsalah-E-Roz-O-Shab, Naqsh Gar-E-HadsaatSilsalah-E-Roz-O-Shab, Asal-E-Hayat-O-Mamaat
Silsalah-E-Roz-O-Shab, Taar-E-Hareer-E-Do RangJis Se Banati Hai Zaat Apni Qaba’ay Sifat
Silsalah-E-Roz-O-Shab, Saaz-E-Azal Ki FaghanJis Se Dikhati Hai Zaat Zair-O-Bam-E-Mumkinaat
Tujh Ko Parakhta Hai Ye, Mujh Ko Parakhta Hai YeSilsalah-E-Roz-O-Shab, Sayr Fee Kainat
Tu Ho Agar Kam Ayaar, Main Hun Agar Kam AyaarMout Hai Teri Baraat, Mout Hai Meri Baraat
Tere Shab-O-Roz Ki Aur Haqiqat Hai KyaAik Zamane Ki Ro Jis Mein Na Din Hai Na Raat
Aani –O-Fani Tamam Mojazaat Haye GunarKaar-E-Jahan Be-Sabaat, Kaar-E-Jahan Be-Sabaat!
Awwal-O-Akhir Fana, Batin-O-Zahir FanaNaqsh-E-Kuhan Ho Ke Nau, Manzil-E-Akhir Fana
Hai Magar Iss Naqsh Mein Rang-E-Sabaat-E-DawamJis Ko Kiya Ho Kisi Mard-E-Khuda Ne Tamam
Mard-E-Khuda Ka Amal Ishq Se Sahib FiroghIshq Hai Asal-E-Hayat, Mout Hai Iss Par Haraam
Tund-O-Subak Sair Hai Gharcha Zamane Ki RoIshq Khud Ek Sayl Hai, Sayl Ko Leta Hai Thaam
Ishq Ki Taqweem Mein Asar-E-Rawan Ke SawaAur Zamane Bhi Hain Jin Ka Nahin Koi Naam
Ishq Dam-E-Jibreel, Ishq Dam-E-Mustafa (S.A.W.).Ishq Khuda Ka Rasool, Ishq Khuda Ka Kalaam
Ishq Ki Masti Se Hai Paikar-E-Gil TaabnaakIshq Hai Sehba’ay Khaam, Ishq Hai Kaas-Ul-Kiraam
Ishq Faqeeh-E-Haram, Ishq Ameer JunoodIshq Hai Ibn-Ul-Sabeel, Iss Ke Hazaron Maqam
Ishq Ke Mizraab Se Naghma’ay Taar-E-HayatIshq Se Noor-E-Hayat, Ishq Se Naar-E-Hayat
Ae Haram-E-Qurtuba! Ishq Se Tera WujoodIshq Sarapa Dawam, Jis Mein Nahin Raft-o-Bood
Rang Ho Ya Khisht-o-Sang, Chang Ho Ya Harf-o-SootMoajaza-E-Fan Ki Hai Khoon-E-Jigar Se Namood
Katra-E-Khoon-E-Jigar Sil Ko Banata Hai DilKhoon-E-Jigar Se Sada Souz-o-Suroor-o-Surood
Teri Fiza Dil Faroz , Meri Nawa Sina SozTujh Se Dilon Ka Huzoor, Mujh Se Dilon Ki Kushood
Arsh-E-Muala Se Kam Sina’ay Adam NahinGarche Kaf-Ekhak Ki Had Hai Sipihr-E-Kubood
Pekar-E-Noori Ko Hai Sajda Meyasir To KyaIss Ko Meyasir Nahin Soz-O-Gudaaz-E-Sujood
Kafir-E-Hindi Hun Main, Dekh Mera Zauq-O-ShauqDil Mein Salat-O-Durood, Lab Pe Salat-O-Durood
Shauq Meri Le Main Hai, Shauq Meri Ne Mein HaiNaghma’ay ‘ALLAH HOO’ Mere Rag-E-Pe Mein Hai
Tera Jalal-O-Jamal, Mard-E-Khuda Ki DaleelWoh Bhi Jaleel-O-Jameel, Tu Bhi Jaleel-O-Jameel
Teri Bina Paidar, Tere Sutoon Be-ShumarSham Ke Sehra Mein Ho Jaise Hujoom-E-Nakheel
Tere Dar-O-Baam Par Wadi-E-Ayman Ka NoorTera Minaar-E-Buland Jalwagah-E-Jibreel
Mit Nahin Sakta Kabhi Mard-E-Musalman Ke HaiIss Ki Azanon Se Fash Sir-E-Kaleem(A.S.)-O-Khalil(A.S.)
Iss Ki Zameen Behadood, Is Ka Ufaq Be SooghoorIss Ke Samundar Ki Mouj, Dajla-O-Danyob-O-Neel
Iss Ke Zamane Ajeeb, Iss Ke Fasane GhareebEhad-E-Kuhan Ko Diya Iss Ne Payam-E-Raheel