ذوق و شوق
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath
'Daraig Amdam Zaan Hama BostanTahi Dast Raftan Suay Dostan
Qalb-o-Nazar Ki Zindagi Dast Mein Subah Ka SamanChasma'ay Aftab Se Noor Ki Nadiyan Rawan
Husn-e-Azal Ki Hai Namood, Chaak Hai Parda'ay WajoodDil Ke Liye Hazar Sood, Aik Nigah Ka Ziyan
Surkh-o-Kabood Badaliyan Chor (Chodh) Gaya Sihab-e-ShabKoh-e-Idm Ko De Gaya Rand Barang Teelsiyan
Gard Se Pak Hai Hawa, Barg-e-Nakheel Dhul GayeRaig-e-Nawah-e-Kazimah Naram Hai Misl-e-Parniyan
Aag Bujhi Hui Idhar, Tooti Hui Tanab UdharKya Khabar Iss Maqam Se Guzaray Hain Kitne Karwan
Ayi Sada'ay Jibreel, Tera Maqam Hai YehiAhl-e-Faraak Ke Liye Ayesh-e-Dawam Hai Yehi
Kis Se Kahon Ke Zehar Hai Mere Liye May'ay HiyatKuhna HAi Bazm-e-Kainat, Taza Hain Mere Wardaat
Kiya Nahin Aur Ghaznavi Kargah-e-Hiyat MeinBaithe Hain Kab Se Muntazir Ahl-e-Harm Ke Soumanaat
Zikr-e-Arab Ke Souz Mein, Fikr-e-Ajam Ke Saaz MeinNay Arabi Mushahidaat, Nay Arbi Takhayyulaat
Kafla'ay Hijaz Mein Aik Hussain(R.A.) Bhi NahinGarcha Hai Tabdaar Abhi Gaisu'ay Dajla-o-Firat
Aqal-o-Dil-o-Nigah Ka Murshid-e-Awaleen Hai IshqIshq Na Ho Tou Sharaa-o-Deen, Bott Khudda'ay Tasawwarat
Sidq-e-Khalil(A.S.) Bhi Hai Ishq, Sabr-e-Hussain(R.A.) Bhi Hai IshqMaarka'ay Wajood Mein Badar-o-Hunain Bhi Hai Ishq
Aaya'ay Kainat Ka Ma'ani-e-Deeryaab tuNikle Teri Talash Mein Kafla Ha'ay Rang-o-Bu
Jalwatiyan-e-Madrasah Kour Nigah-o-Murda ZauqKhalwatiyan May Kuda Kam Talab-o-Tahi Kadu
Main Ke Meri Ghazal Mein Hain Aatish-e-Rafta Ka SuraghMeri Tamam Sarguzhast, Khuay Huwon Ki Justajoo
Baad-e-Saba Ki Mouj Se Nashonuma'ay Khar-o-KhsMere Nafs Ki Mouj Se Nashonuma'ay Arzoo
Khoon-e-Dil-o-Jigar Se Hai Meri Nawa Ki ParwarishHai Rag-e-Saaz Mein Rawan Sahib-e-Saaz Ka Lahoo
'Fursat-e-Kashmakash Madah Ayen Dil-e-Beqarar RaYak Do Shikan Ziada Kun Ghaisu'ay Tabdaar Ra'
Loh Bhi Tu Qalam Bhi Tu, Tera Wajood Al-KitabGunbad-e-Abgina Rang tere Muheet Mein Habab
Alim-e-Aab-o-Khak Mein Tere Zahoor Se FarougZarra'ay Raig Ko Diya Tu Ne Tulu-e-Aftab
Shoukat-e-Sanjar-o-Saleem Tere Jalal Ki NamoodFaqr-e-Junaid(R.A.)-o-Bayazeed(R.A.), Tera Jamal-e-Be-Naqab
Shauq Tera Agar Na Ho Meri Namaz Ka ImamMera Qiyam Bhi Hijab, Mera Sajood Bhi Hijab
Teri Nigah-e-Naaz Se Dono Murad Pa GayeAqal Ghiyab-o-Justajoo, Ishq Huzoor-o-Iztarab
Teerah-o-Taar Hai Jahan Gardish-e-Aftab SeTaba-e-Zamana Taza Kar Jalwa'ay Behijab Se
Teri Nazar Mein Hain Tamam Mere Guzishta Roz-o-ShabMujh Ko Khabar Na Thi Ke Hai Ilm-e-Nakheel-e-Be-Rutab
Taza Mere Zameer Mein Ma'arka'ay Kuhan HuwaIshq Tamam Mustafavi(S.A.W.), Aqal Tamam Bu-Lahab
Gah Bahila Mee Burad, Gah Bazor Mee KusahIshq Ki Ibtada Ajab, Ishq Ki Intaha Ajab
Alim-e-Souz-o-Saaz Mein Wasal Se Barh Ke Hai FiraaqWasal Mein Marg-e-Arzoo, Hijar Mein Lazzat-e-Talab
Ayen-e-Wisal Mein Mujhay Hosla'ay Nazar Na ThaGharcha Bahana Joo Rahi Meri Nigah-e-BeAdab