رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ساقي نامہ

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath

Huwa Khaimazan Karwan-E-BaharIram Ban Gya Daman-E-Kohsar
Gul-O-Nargis-O-Sosan-O-NastranShaheed-E-Azal Lalah Khooni Kafan
Jahan Chup Gya Parda’ay Rang MeinLahoo Ki Hai Gardish Rag-E-Sang Mein
Faza Neeli Neeli, Hawa Mein SuroorThehar Nahin Aashiyan Mein Tayoor
Zara Dekh Ae Saqi-E-Lalah Faam!Sunati Hai Ye Zindagi Ka Payam
Pila De Mujhe Woh Mai-E-Parda SozKe Ati Nahin Fasal-E-Gul Roz Roz
Woh Mai Jis Se Roshan Zameer-E-HayatWoh Mai Jis Se Hai Masti-E-Kainat
Woh Mai Jis Mein Hai Soz-O-Saaz-E-AzalWoh Mai Jis Se Khulta Hai Raaz-E-Azal
Utha Saqiya Parda Iss Raaz SeLara De Mamoole Ko Shahbaz Se
Huwa Iss Tarah Fash Raaz-E-FarangKe Hairat Mein Hai Sheesha Baaz-E-Farang
Gya Dour-E-Sarmaya Dari, GyaTamasha Dikha Kar Madari Gya
Garan Khawab Cheeni Sanbhalne LageHamala Ke Chashme Ubalne Lage
Dil-E-Toor-E-Seena-O-Faran Do NeemTajalli Ka Phir Muntazir Hai Kaleem
Musalman Hai Touheed Mein Garam JoshMagar Dil Abhi Taak Hai Zunnar Posh
Tamadan, Tasawwuf, Shariat, KalamButan-E-Ajam Ke Poojari Tamam!
Lubhata Hai Dil Ko Kalam-E-KhateebMagar Lazzat-E-Shauq Se Be-Naseeb!
Byan Iss Ka Mantaq Se Suljha HuwaLughat Ke Bakheron Mein Uljha Huwa
Woh Sufi K Tha Khidmat-E-Haq Mein MardMohabbat Mein Yakta, Hamiyyat Mein Fard
Sharab-E-Kuhan Phir Pila SaqiyaWohi Jaam Gardish Mein La Saqiya!
Muhe Ishq Ke Par Laga Kar UraMeri Khaak Jugnu Bana Kar Ura
Khirad Ko Ghulami Se Azad KarJawanon Ko Peeron Ka Ustad Kar
Har Shakh-E-Millat Tere Nam Se HaiNafs Iss Badan Mein Tere Dam Se Hai