کھلا جب چمن ميں کتب خانہء گل
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Khula Jab Chaman Mein Kutab Khana’ay GulNa Kaam Aya Mullah Ko Ilm-E-Kitabi
Matanat Shikan Thi Hawa’ay BaharanGhazal Khawan Huwa Peerak-E-Indrabi
Kaha Lala’ay Atisheen Pairhan NeK Asrar-E-Jaan Ki Hoon Mein Behijabi
Samjhta Hai Jo Mout Khawab-E-Lehad KoNahan Uss Ki Tameer Mein Hai Kharabi
Nahin Zindagi Silsala Roz-O-Shab KaNahin Zindagi Masti-O-Neem Khawabi
Hayat Ast Dar Atish-E-Khud TapaydanKhush Aan Dam Kh Ayen Nukta Ra Bazyabi
Agar Za Atish-E-Dil Shararay BagiririTawan Kard Zaer-E-Falak Afabi