Tehni Pe Kisi Shajar Ki TanhaBulbul Tha Koi Udas Baitha
Kehta Tha Ke Raat Ser Pe AayiUrne Chugne Mein Din Guzra
Pohenchun Kis Tarah Aashiyan TakHer Cheez Pe Cha Gya Andhera
Hazir Hun Madad Ko Jaan O Dil SeKeera Hun Agarche Mein Zara Sa
Kya Gham Hai Jo Raat Hai AndheriMain Rah Mein Roshani Karon Ga
Allah Ne Di Hai Mujh Ko MishalChamka Ke Mujhay Diya Banaya
Hain Log Wohi Jahan Mein AcheAate Hain Jo Kaam Dusron Ke