Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gya Hun Ya Rab!Kya Lutf Anjuman Ka Jab Dil Hi Bujh Gya Ho
Sourish Se Bhagta Hun, Dil Dhoondta Hai MeraAesa Sukoot Jis Par Taqreer Bhi Fida Ho
Merta Hon Khamashi Par, Ye Arzoo Hai MeriDaman Mein Koh K Ek Chota Sa Jhonpara Ho
Azad Fikr Se Hon, Uzlat Mein Din GuzaronDunya Ke Gham Ka Dil Se Kanta Nikl Gya Ho
Lazzat Surood Ki Ho Chiryon Ke Chehchon MeinChashme Ki Shourishon Mein Baja Sa Baj Raha Ho
Gul Ki Kali Chatak Kar Paigham De Kisi KaSaghir Zara Sa Goya Mujh Ko Jahan Numa Ho
Ho Hath Ka Sarhana, Sabze Ka Ho BichonaSharmaye Jis Se Jalwat, Khalwat Mein Woh Ada Hi
Manoos Iss Qadar Soorat Se Meri BulbulNanhe Se Dil Mein Uss Ke Khatka Na Kuch Mera Ho
Sift Bandhe Dono Janib Boote Hare Hare HonNadi Ka Saaf Pani Tasveer Le Raha Ho
Ho Dil Faraib Aesa Kuhsar Ka NazaraPani Bhi Mouj Ban Kar, Uth Uth Ke Dekhta Ho
Aghosh Mein Zameen Ki Soya Huwa Ho SabzaPhir Phir Ke Jhariyon Mein Pani Chamak Raha Ho
Pani Ko Chu Rahi Rahi Ho Jhuk Jhuk Ke Gul Ki TehniJaise Haseen Koi Aaeena Dekhta Ho
Mehndi Lage Suraj Jab Sham Ki Dulhan KoSurkhi Liye Sunehri Har Phool Ki Qaba Ho
Raton Ko Chalne Wale Reh Jaen Thak Ke Jis DamUmeed Un Ki Mera Toota Huwa Diya Ho
Bijli Chamak Ke Un Ko Kutiya Meri Dikha DeJab Asman Pe Har Soo Badal Ghira Huwa Ho
Pichle Pehr Ki Koeel, Woh Subah Ki MouzanMain Uss Ka Hamnawa Hun, Woh Meri Humnawa Ho
Kanon Pe Ho Na Mere Dair-o-Haram Ka EhsanRozan Hi Jhonpari Ka Mujh Ko Sehr Numa Ho
Phoolon Ko Aye Jis Dam Shabnam Wazoo KarneRona Mera Wazoo Ho, Nala Meri Dua Ho
Iss Khamashi Mein Jaen Itne Buland NaaleTaron Ke Qafle Ko Meri Sada Dra Ho
Har Dardmand Dil Ko Rona Mera Rula DeBehosh Jo Pare Hain, Shaid Inhain Jaga De