عشق اور موت
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 23 sher · Roman Urdu ke saath
Suhani Namood-e-Jahan Ki Ghari ThiTabassum Fishan Zindagi Ki Kali Thi
Kahin Mehr Ko Taj-e-Zar Mil Raha ThaAtta Chand Ko Chandani Ho Rahi Thi
Siyah-e-Pairhan Sham Ko De Rahe TheSitaron Ko Taleem-e-Tabindagi Thi
Kahin Shakh-e-Hasti Ko Lagte The PatteKahin Zindagi Ki Kali Phootti Thi
Farishte Sikhate The Shabnam Ko RonaHansi Gul Ko Pehle Pehal Aa Rahi Thi
Atta Dard Hota Tha Shayar Ke Dil KoKhudi Tashna Kaam-e-Mai-e-Bekhudi Thi
Uthi Awwal Awwal Ghata Kali KaliKoi Hoor Choti Ko Khole Khari Thi
Zameen Ko Tha Dawa Ke Main Asman HunMakan Keh Raha Tha Ke Main La-Makan Hun
Gharz Iss Qadar Ye Nazara Tha PyaraKe Nazaragi Ho Sarapa Nazara
Malak Azmate The Parwaz ApniJabeenon Se Noor-e-Azal Ashakara
Farishta Tha Ek, Ishq Tha Naam Jis KaKe Thi Rahbari Uss Ki Sub Ka Sahara
Farishta Ke Putla Tha Be Tabiyon KaMalak Ka Malak Aur Pare Ka Para
Pay-e-Sair Fardous Ko Ja Raha ThaQaza Se Mila Rah Mein Woh Qaza Ra
Ye Pucha Tera Naam Kya, Kaam Kya HaiNahin Ankh Ko Deed Teri Gawara
Huwa Sun Ke Goya Qaza Ka FarishtaAjal Hun, Mera Kaam Hai Ashkara
Urati Hun, Main Rakht-e-Hasti Ke PurzeBujhati Hun Main Zindagi Ka Shararr
Meri Ankh Mein Jadoo-e-Neesti HaiPaya-e-Fana Hai Issi Ka Ishara
Magar Aik Hasti Hai Dunya Mein AesiWoh Atish Hai Main Samne Uss Ke Para
Sharar Ban Ke Rehti Hai Insan Ke Dil MeinWoh Hai Noor-e-Mutliq Ki Ankhon Ka Tara
Tapakti Hai Ankhon Se Ban Ban Ke AnsuWoh Ansu Ke Ho Jin Ki Talkhi Gawara
Suni Ishq Ne Guftugoo Jab Qaza KiHansi Uss Ke Lab Par Huwi Ashkara
Giri Uss Tabassum Ki Bijli Ajal ParAndhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara
Baqa Ko Jo Dekha Fana Ho Gyi WohQaza Thi, Shakar-e-Qaza Ho Gyi Woh