Nahin Minnatkash-e-Taab-e-Shaneedan Dastan MeriKhamoshi Guftugu Hai, Be-Zubani Hai Zuban Meri
Ye Dastoor-e-Zuban Bandi Hai Kaisa Teri Mehfil MeinYahan To Baat Karne Ko Tarasti Hai Zuban Meri
Uthaye Kuch Waraq Lale Ne, Kuch Nargis Ne, Kuch Gul NeChaman Mein Har Taraf Bikhri Huwi Hai Dastan Meri
Urha Li Qumriyon Ne, Tootiyon Ne, Andleebon NeChaman Walon Ne Mil Kar Loot Li Tarz-e-Faghan Meri
Tapak Ae Shama Ansu Ban Ke Parwane Ki Ankhon SeSarapa Darun Hun, Hasrat Bhari Hai Dastan Meri
Elahi ! Phir Maza Kiya Hai Yahan Dunya Mein Rehne KaHayat-e-Javidan Meri! Na Marg-e-Naghaan Meri !
Mera Rona Nahi, Rona Hai Ye Sare Gulistan KaWoh Gul Hon Main, Khazan Har Gul Ki Hai Goya Khazan Meri
“Dareen Hasrat Sra Umarist Afsoon-e-Jaras DaramZa-Faiz-e-Dil Tapeedan Ha Kharosh-e-Be Nafas Daram”
Riyadh-e-Dehr Mein Na-Ashnaye Bazm-e-Ishrat HonKhushi Roti Hai Jis Ko, Main Woh Mehroom-e-Mussarat Hun
Meri Bigri Huwi Taqdeer Ko Roti Hai GoyaiMain Harf-e-Zair-e-Lab, Sharminda’ay Gosh-e-Sama’at Hun
Preshan Hun Main Musht-e-Khaak, Lekin Kuch Nahin KhultaSikandar Hun Ke Aaeena Hun Ya Gard-e-Kadoorat Hun
Ye Sub Kuch Hai Magar Hasti Meri Maqsad Hai Qudrat KaSarapa Noor Ho Jis Ki Haqiqat, Main Woh Zulmat Hun
Khazeena Hun, Chupaya Mujh Ko Musht-e-Khak-e-Sehra NeKisi Ko Kya Khabar Hai Main Kahan Hun Kis Ki Doulat Hun!
Nazar Meri Nahin Mamnoon-e-Sair-e-Arsa-e-HastiMain Woh Chotti Si Dunya Hon Ke Ap Apni Walayat Hon
Na Sehba Hun Na Saqi Hon, Na Masti Hon Na PemanaMain Iss Mai Khana-e-Hasti Mein Har Shay Ki Haqiqat Hun
Mujhe Raaz-e-Do Alam Dil Ka Aaeena Dikhata HaiWohi Kehta Hun Jo Kuch Samne Aankhon Ke Ata Hai
Atta Aesa Byan Mujh Ko Huwa Rangeen Byabanon MeinKe Baam-e-Arsh Ke Taa’ir Hain Mere Hum Zubanon Mein
Asar Ye Bhi Hai Ek Mere Junoon-e-Fitna Saman KaMera Aeena’ay Dil Hai Qaza Ke Raaz Danon Mein
Rulata Hai Tera Nazara Ae Hinduston! Mujh KoKe Ibrat Khaiz Hai Tera Fasana Sub Fasanon Mein
Diya Rona Mujhe Aesa Ke Sub Kuch De Diya GoyaLikha Kalk-e-Azal Ne Mujh Ko Tere Noha Khawanon Mein
Nishan-e-Barg-e-Gul Tak Bhi Na Chorh Iss Bagh Mein Gul-Cheen !Teri Qismat Se Razm Arayan Hain Baghbanon Mein
Chupa Kar Asteen Mein Bijliyan Rakhi Hain Gardoon NeAnadil Bagh Ke Ghafil Na Baithen Ashiyon Mein
Sun Ae Ghafil Sada Meri, Ye Aesi Cheez Hai Jis KoWazifa Jaan Kar Perhte Hain Taair Bostanon Mein
Watan Ki Fikar Kar Nadan! Musibat Ane Wali HaiTeri Barbadiyon Ke Mashware Hain Asmanon Mein
Zara Dekh Uss Ko Jo Kuch Ho Raha Hai, Hone Wala HaiDhara Kya Hai Bhala Ehd-e-Kuhan Ki Dastnon Mein
Ye Khamoshi Kahan Tak? Lazzat-e-Faryad Paida KarZameen Par Tu Ho Aur Teri Sada Ho Asmanon Mein
Na Samjho Ge To Mit Jao Ge Ae Hindustanon Walo !Tumhari Dastan Tak Bhi Na Ho Gi Daston Mein
Ye Aaeen-e-Qudrat Hai, Yehi Asloob-e-Fitrat HaiJo Hai Rah-e-Amal Mein Gaamzan, Mehboob-e-Fitrat Hai
Hawaida Aaj Apne Zakhm-e-Pinhan Kar Ke Chorun GaLahoo Ro Ro Ke Mehfil Ko Gulistan Kar Ke Chorun Ga
Jalana Hai Mujhe Har Shama-e-Dil Ko Souz-e-Pinhan SeTeri Tareek Raaton Mein Charaghan Kar Ke Chorun Ga