رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ہندوستاني بچوں کا قومي گيت

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 10 sher · Roman Urdu ke saath

Chishti (R.A.) Ne Jis Zameen Mein Pegham-e-Haq SunayaNanak Ne Jis Chaman Mein Wahdat Ka Geet Gaya
Tatariyon Ne Jis Ko Apna Watan BanayaJis Ne Hijaziyon Se Dast-e-Arab Chhuraya
Sare Jahan Ko Jis Ne Ilm-o-Hunar Diya ThaMitti Ko Jis Ki Haq Ne Zr Ka Asar Diya Tha
Turkon Ka Jis Ne Daman Heeron Se Bhar Diya ThaMera Watan Wohi Hai, Mera Watan Wohi Hai
Wahdat Ki Laiy Suni Thi Dunya Ne Jis Makan SeMeer-e-Arab (S.A.W.) Ko Aayi Thandi Hawa Jahan Se
Mera Watan Wohi Hai, Mera Watan Wohi HaiBande Kaleem Jis Ke, Parbat Jahan Ke Seena
Nooh (A.S.)-e-Nabi Ka Aa Kar Thehra Jahan SafeenaRiffat Hai Jis Zameen Ki Baam-e-Falak Ka Zeena
Jannat Ki Zindagi Hai Jis Ki Faza Mein JeenaMera Watan Wohi Hai, Mera Watan Wohi Hai