Azmat-e-Ghalib Hai Ek Muddat Se Pewand-e-ZameenMehdi-e-Majrooh Hai Sheher-e-Khamoshan Ka Makeen
Tor Dali Mout Ne Ghurbat Mein Meenaye AmeerChashme-e-Mehfil Mein Hai Ab Tak Kaif-e-Sehbaye Ameer
Aaj Lekin Hum-Nawa! Sara Chaman Matam Mein HaiShama-e-Roshan Bujh Gyi, Bazm-e-Sukhan Matam Mein Hai
Bulbul-e-Dilli Ne Bandha Iss Chaman Mein AshiyanHum Nawa Hain Sub Anadil Bagh-e-Hasti Ke Jahan
Chal Basa Dagh! Aah! Mayyat Iss Ki Zaib-e-Dosh HaiAkhri Shayar Jahan Abad Ka Khamosh Hai
Ab Kahan Woh Bankpan, Woh Soukhi-e-Tarz-e-ByabanAag Thi Kafoor-e-Peeri Mein Jawani Ki Nihan
Thi Zuban-e-Dagh Par Jo Aarzu Har Dil Mein HaiLaila-e-Maani Wahan Be Parda, Yaan Mehmil Mein Hai
Ab Saba Se Kon Puche Ga Sukoot-e-Gul Ka RaazKon Samjhe Ga Chaman Mein Nala-e-Bulbul Ka Raaz
Thi Haqiqat Se Na Ghaflat Fikar Ki Parwaz MeinAankh Taeer Ki Nasheman Par Rahi Parwaz Mein
Aur Dikhlayen Ge Mazmoon Ki Humain BareekianApne Fikr-e-Nukta Aara Ki Falak Pemaeeyan
Talakhi-e-Doran Ke Naqhe Khainch Kar Rulwayen GeYa Takhiyul Ki Nayi Dunya Humain Dikhlayen Ge
Iss Chaman Mein Hon Ge Paida Bulbul-e-Sheeraz BhiSaikron Sahir Bhi Hon Ge, Sahib-e-Ijaz Bhi
Uthain Ge Azar Hazaron Shair Ke Butkhane SeMai Pilayen Gen Aye Saqi Naye Pemane Se
Likhi Jaen Gi Kitab-e-Dil Ki Tafseerain BohatHon Gi Ae Khawab-e-Jawani! Teri Taabeerain Bohat
Hu Bahu Khainche Ga Lekin Ishq Ki Tasveer Kon?Uth Gya Nawak Fagan, Mare Ga Dil Par Teer Kon?
Ashak Ke Dane Zameen-e-Shair Mein Bota Hun MainTu Bhi Ro Ae Khak-e-Dilli! Dagh Ko Rota Hun Main
Ae Jahan Abad, Ae Sarmaya-e-Bazm-e-Sukhan!Ho Gya Phir Aaj Pamal-e-Khazan Tera Chaman
Woh Gul-e-Rangeen Tera Rukhsat Misal-e-Bu HuwaAh! Khali Dagh Se Kashana-e-Urdu Huwa
Thi Na Shaid Kuch Kashish Aesi Watan Ki Khak MeinWoh Mah-e-Kamil Huwa Pinhan Dakkan Ki Khak Mein
Uth Gye Saqi Jo The, Mai-Khana Khali Reh GyaYadgar-e-Bazm-e-Dehli Aik Hali Reh Gya
Arzoo Ko Khoon Rulati Hai Baidad-e-AjalMaarta Hai Teer Tareeki Mein Sayyad-e-Ajal
Khul Nahin Sakti Shakayat Ke Liye Lekin ZubanHai Khazan Ka Rang Bhi Wajah-e-Qayam-e-Gulistan
Aik Hi Qanoon-e-Alamgeer Ke Hain Sub AsarBu-e-Gul Ka Bagh Se, Gulcheen Ka Dunya Se Safar