رمزِ زندگیRamz E Zindagi

محبت

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 16 sher · Roman Urdu ke saath

Uroos-e-Shab Ki Zulfain Theen Abhi Na-Ashna Kham SeSitare Asaman Ke Be-Khabar The Lazzat-e-Ram Se
Qamar Apne Libas-e-Nawa Mein Begana Sa Lagta ThaNa Tha Waqif Abhi Gardish Ke Aaeen-e-Muslim Se
Kamal-e-Nazam-e-Hasti Ki Abhi Thi Ibtada GoyaHaweda Thi Nagine Ki Tamanna Chashme-e-Khatam Se
Suna Hai Alam-e-Bala Mein Koi Keemiya-Gar ThaSafa Thi Jis Ki Khak-e-Pa Mein Barh Kar Saghir-e-Jam Se
Likha Tha Arsh Ke Paye Pe Ek Ikseer Ka NuskhaChupate The Farishte Jis Ko Chashm-e-Rooh-e-Adam Se
Nigahain Taak Mein Rehti Then Lekin Keemiya-Gar KiWoh Iss Nuskhe Ko Barh Kar Janta Tha Ism-e-Azam Se
Barha Tasbeeh Khawani Ke Bahane Arsh Ki JanibTamanna-e-Dili Akhir Bar Ayi Saee-e-Peham Se
Phiraya Fikr-e-Ajza Ne Use Maidan-e-Imkan MeinChupe Gi Kya Koi Shay Bargah-e-Haq Ke Mehram Se
Chamak Tare Se Mangi, Chand Se Dagh-e-Jigar MangaUrhayi Teergi Thori Si Shab Ki Zulf-e-Barham Se
Tarap Bijli Se Payi,Hoor Se Pakeezgi PayiHararat Li Nafashaye Maseeh-e-Ibn-e-Mariam (A.S.) Se
Zara Si Phir Rabubiat Se Shan-e-Be-Niazi LiMalak Se Ajazi, Uftadgi Taqdeer-e-Shabnam Se
Phir In Ajza Ko Ghola Chasma-e-Hewan Ke Pani MenMarakkab Nemohabbat Naam Paya Arsh-e-Azam Se
Muhwish Ne Ye Pani Hasti-e-Naukhaiz Par ChirkaGirah Kholi Hunar Ne Uss Ke Goya Kaar-e-Alam Se