Hai Ajab Majmooa-e-Azdad Ae Iqbal ToRonaq-e-Hangama Mehfil Bhi Hai, Tanha Bhi Hai
Tere Hangamon Se Ae Diwana-e-Rangeen Nawa!Zeenat-e-Gulshan Bhi Hai, Araish-e-Sehra Bhi Hai
Hum Nasheen Taron Ka Hai Tu Riffat-e-Parwaz SeAe Zameen Farsa, Qadam Tera Falak Pema Bhi Hai
Ayn Shugal-e-Mai Mein Preshani Teri Sajda RaizKuch Tere Maslik Mein Rang-e-Mashrab-e-Meena Bhi Hai
Misl-e-Boo-e-Gul Libas-e-Rang Se Uryan Hai TuHai Tu Hikmat Afreen, Lekin Tujhe Soda Bhi Hai
Janib-e-Manzil Rawan Be-Naqsh-e-Pa Manind-e-MoujAur Phir Uftada Misl-e-Sahil-e-Darya Bhi Hai
Husn-e-Niswani Hai Bijli Teri Fitrat Ke LiyePhir Ajab Ye Hai Ke Tera Ishq Be Parwa Bhi Hai
Teri Hasti Ka Hai Aaeen-e-Taffanan Par MadarTu Kabhi Aik Astane Par Jabeen Farsa Bhi Hai?
Hai Haseenon Mein Wafa Na-Ashna Tera KhitabAe Talawwun Kaesh! Tu Mashoor Bhi, Ruswa Bhi Hai
Le Ke Aya Hai Jahan Mein Adat-e-Seemab TuTeri Betaabi Ke Sadqe, Hai Ajab Betaab Tu
Ishq Ki Ashuftagi Ne Kar Diya Sehra JiseMusht-e-Khak Aesi Nahan Zair-e-Qaba Rakhta Hun Main
Hain Hazaron Iss Ke Pehlu, Rang Har Pehlu Ka AurSeene Mein Heera Koi Tarsha Huwa Rakhta Hun Main
Dil Nahin Shayar Ka, Hai Kaifiyat Ki RastkhairKya Khabar Tujh Ko, Durun-e-Seena Kya Rakhta Hun Main
Arzoo Har Kafiat Mein Ek Naye Jalwe Ke HaiMuztarib Hun, Dil Sukoon Na-Ashna Rakhta Hun Main
Go Haseen-e-Taza Hai Har Lehza Maqsood-e-NazarHusn Se Mazboot Peman-e-Wafa Rakhta Hun Main
Be-Niazi Se Hai Paida Meri Fitrat Ka NiazSouz-o-Saaz-e-Justujoo Misl-e-Saba Rakhta Hun Main
Mujab-e-Taskeen Tamashaye Sharar-e-Jasta AeHo Nahin Sakta Ke Dil Barq Ashna Rakhta Hun Main
Har Taqaza Ishq Ki Fitrat Ka Ho Jis Se KhamoshAah! Woh Kamil Tajalli Mudda Rakhta Hun Main
Justujoo Kul Ki Liye Phirti Hai Ajza Mein MujheHusn Be-Payan Hai, Dard-e-La-Dawa Rakhta Hun Main
Zindagi Ulfat Ki Dard Anjamiyon Se Hai MeriIshq Ko Azad-e-Dastoor-e-Wafa Rakhta Hun Main
Such Agar Puche To Aflas-e-Takhiyul Hai WafaDil Mein Har Dam Ek Naya Mehshar Bipa Rakhta Hun Main
Faiz-e-Saqi Shabnam Aasa, Zarf-e-Dil Darya TalabTashna-e-Dayem Hun Atish Zair-e-Pa Rakhta Hun Main
Mujh Ko Paida Kar Ke Apna Nukta-Cheen Paida KiyaNaqsh Hun, Apne Musawwar Se Gila Rakhta Hun Main
Mehfil-e-Hasti Mein Jab Aesa Tunk Jalwa Tha HusnPhir Takhiyyul Kis Liye La-Intiha Rakhta Hun Main
Dar Byanban-e-Talab Pewasta Mee Kosheeyam MaMouj-e-Beheriyam-o-Shikast-e-Khowesh Bar Dosheyam Ma