رمزِ زندگیRamz E Zindagi

انسان

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 10 sher · Roman Urdu ke saath

Qudrat Ka Ajeeb Ye Sitam Hai!Insan Ko Raaz Jo Banaya
Raaz Uss Ki Nigah Se ChupayaBe-Taab Hai Zauq Aaghi Ka
Khulta Nahin Bhaid Zindagi KaHairat Aaghaz-o-Intiha Hai
Aaeene Ke Ghar Mein Aur Kya HaiHai Garm-e-Kharaam Mouj-e-Darya
Darya Sooye Behr Jadah PemaBadal Ko Hawa Urha Rahi Hai
Shanon Pe Uthaye La Rahi HaiTaare Mast-e-Sharab-e-Taqdeer
Zindan-e-Falak Mein Pa Ba ZanjeerKhursheed, Woh Abid-e-Sehar Khaiz
Lane Wala Pyam-e-‘Barkhaiz’Magrib Ki Pahariyon Mein Chup Kar
Peeta Hai Mai-e-Shafaq Ka SagharLazzat Geer-e-Wujood Harshay
Sarmast-e-Mai-e-Namood Har ShayKoi Nahin Gham Gusaar-e-Insaar