Tanhai-e-Shab Mein Hai Hazeen KyaAnjum Nahin Tere Hum-Nasheen Kya?
Ye Riffat-e-Asman-e-KhamoshKhawabidah Zameen, Jahan-e-Khamosh
Ye Chand, Ye Dasht-o-Dar, Ye KuhsarFitrat Hai Tamam Nasteran Zaar
Moti Khush Rang, Pyare PyareTani Tere Aansuon Ke Tare
Kis Shay Ki Tujhe Hawas Hai Ae Dil !Qudrat Teri Hum-Nafas Hai Ae Dil !