رمزِ زندگیRamz E Zindagi

عبد القادر کے نام

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 11 sher · Roman Urdu ke saath

Uth Ke Zulmat Huwi Paida Ufaq-e-Khawar ParBazm Mein Shoala Nawayi Se Ujala Kar Dain
Aik Faryad Hai Manind-e-Sipand Apni BisatIssi Hangame Se Mehfil Tah-o-Bala Kar Dain
Ahl-e-Mehfil Ko Dikha Dain Asr-e-Saqeel-e-IshqSang-e-Amroz Ko Aeena-e-Farda Kar Dain
Jalwa-e-Yousaf-e-Gum Gashta Dikha Kar In KoTapish Aamadah Tar Az Khoon-e-Zulekha Kar Dain
Iss Chaman Ko Sabaq Aaeene-e-Namoo Ka Dar KarQatra-e-Shabnam-e-Be-Maya Ko Darya Kar Dain
Rakht-e-Jaan Butkuda-e-Cheen De Utha Lain ApnaSub Ko Mehv-e-Rukh-e-Saadi-o-Sulema Kar Dain
Dekh! Yasrab Mein Huwa Naqa-e-Laila BaikarQias Ko Arzoo-e-Nau Se Shanasa Kar Dain
Badah Dairina Ho Aur Garam Ho Aesa Ke GudazJigar-e-Shisha-o-Pemana-o-Meena Kar Dain
Garam Rakhta Tha Humain Sardi-e-Maghrib Mein Jo DaghCheer Kar Seena Usse Waqf-e-Tamasha Kar Dain
Shama Ki Tarah Jabeen Bazm Gah-e-Alam MeinKhud Jalain, Didah-e-Aghyar Ko Beena Kar Dain
“Har Che Dil Guzrd Wa Qaf-e-Zuban Darad ShamaSokhtan Neest Khaya Le Ke Nihan Darad Shama”