Qamar Ka Khof Ke Hai Khatra-e-Sehar Tujh KoMaal-e-Husn Ki Kya Mil Gyi Khabar Tujh Ko?
Mataa-e-Noor Ke Lut Jane Ka Hai Dar Tujh KoHai Kya Haras-e-Fana Soorat-e-Sharar Tujh Ko?
Zameen Se Door Diya Aasman Ne Ghar Tujh KoMisal-e-Mah Urhayi Qabaye Zar Tujh Ko
Ghazab Hai Phir Teri Nanhi Si Jaan Derti Hai!Tamam Raat Teri Kanpte Guzerti Hai
Chamakne Wale Musafir! Ajeeb Ye Basti HaiJo Auj Aik Ka Hai, Dosre Ki Pasti Hai
Ajal Hai Lakhon Sitaron Ki Ek Waladat-e-MehrFana Ki Neend Mai-e-Zindagi Ki Masti Hai
Widaa-e-Ghuncha Mein Hai Raaz-e-Afrainash-e-GulAdam, Adam Hai Ke Aaeena Daar-e-Hasti Hai!
Sukoon Muhal Hai Qudrat Ke Kaarkhane MeinSabat Aik Taghiyur Ko Hai Zamane Mein