بزم انجم
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 15 sher · Roman Urdu ke saath
Suraj Ne Jate Jate Shaam-e-Seh Qaba KoTasht-e-Ufaq Se Le Kar Lale Ke Phool Mare
Pehna Diya Shafaq Ne Sone Ka Sara ZaiwarQudrat Ne Apne Gehne Chandi Ke Sub Utare
Mehmil Mein Khamshi Ke Lela’ay Zulmat AyiChamke Aroos-E-Shab Ke Moti Vo Pyare Pyare
Vo Door Rehne Wale Hungama’ay Jahan SeKehta Hai Jin Ko Insan Apni Zuban Mein 'Taray'
Mehv-e-Falak Ferozi Thi Anjuman Falak KiArsh-e-Bareen Se Ayi Awaz Ek Malak Ki
Ae Shab Ke Pasbano, Ae Asman Ke Taro !Tabinda Qaum Sari Gurdoon Nasheen Tumhari
Chairo Sarood Aesa, Jaag Uthain Sone WaleRahbar Hai Qaflon Ki Tab-e-Jabeen Tumhari
Aynay Qismaton Ke Tum Ko Ye Jante HainShaid Sunain Sadaeyn Ahl-e-Zameen Tumhari
Rukhsat Huwi Khamoshi Taron Bhari Faza SeWusa’at Thi Asman Ki Ma’amoor Iss Nawa Se
Husn Azal Se Paida Taron Ki Dilbari MeinJis Tarah Aks-e-Gul Ho Shabnam Ki Arsi Mein
Aayen-e-Nau Se Darna, Tarz-e-Kuhan Pe UrnaManzil Yehi Kathan Hai Qoumon Ki Zindagi Mein
Ye Karwan-e-Hasti Hai Taez Gaam AesaQoumain Kuchal Gayi Hain Jis Ki Rawarawi Mein
Aankhon Se Hain Humari Ghayeb Hazon AnjumDakhil Hain Vo Bhi Lekin Apni Baradari Mein
Ek Umer Mein Na Samjhe Iss Ko Zameen WaleJo Baat Pa Gaye Hum Thori Si Zindagi Mein
Hain Jazb-e-Bahmi Se Qaim Nazam SarePosida Hai Ye Nukta Taron Ki Zindagi Mein