رمزِ زندگیRamz E Zindagi

شمع اور شاعر

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath

Dosh Mee Gutam Ba Shama-e-Manzil-e-Weeran-e-KhoweshGaisuay Tu Azpar-e-Parwana Dar Dashana Ae
Dar Jahan Misl-e-Charagh-e-Lala-e-SehrastamNe Naseeb-e-Mehfile, Ne Qismat-e-Kashana Ae
Madd Te Manind-e-Tou Man Hum Nafas Mee SoukhtamDar Tawaf-e-Shaula Am Baale Na Zad Parwana Ae
Mee Tapad Sad Jalwa-e-Dar Jaan-e-Amal Far Sood-e-MannBar Namee Khaizd Azeen Mehfil Dil-e-Diwana Ae
Az Kuja Aen Aatish-e-Alam Faroz AndokhtiKirmak-e-Be Maya Ra Souz-e-Kaleem Amoskhti
Mujh Ko Mouj-e-Nafas Deti Hai Paigham-e-AjalLab Issi Mouj-e-Nafas Se Hai Nawa Paira Tera
Mein To Jalti Hun Ke Hai Muzmir Meri Fitrat Mein SouzTu Firouzan Hai Ke Parwanon Ko Ho Soda Tera
Girya Saman Main Ke Mere Dil Mein Hai Toofan-e-AshakShabnam Afshan Tu Ke Bazm-e-Gul Mein Ho Charcha Tera
Gul Ba Daman Hai Meri Shab Ke Lahoo Se Meri SubahHai Tere Amroz Se Na-Ashna Farda Tera
Yun To Roshan Hai Magar Souz-e-Darun Rakhta NahinShaola  Hai Misl-e-Charagh-e-Lala-e-Sehra Tera
Aur Hai Tera Shua’ar, Aaeene-e-Millat Aur HaiZisht Ruyi Se Teri Aaeena Hai Ruswa Tera
Kaaba Pehlu Mein Hai Aur Soudai-e-Butkhana HaiKis Qadar Shourida Sar Hai Shauq-e-Be-Parwa Tera
Qais Paida Hon Teri Mehfil Mein, Ye Mumkin NahinTang Hai Sehra Tera, Mehmil Hai Be-Laila Tera
Ae Dur-e-Tabinda, Ae Parwardah-e-Aghosh-e-Mouj!Lazzat-e-Toofan Se Hai Na-Ashna Darya Tera
Ab Nawa Paira Hai Kya, Gulshan Huwa Barham TeraBe-Mehel Tera Taranum, Naghma Be-Mousam Tera
Tha Jinhain Zauq-e-Tamasha, Woh To Rukhsat Ho GyeLe Ke Ab Tu Wada-e-Didar-e-Aam Aya To Kya
Anjuman Se Woh Purane Shaola Aasham Uth GyeSaqiya! Mehfil Mein Tu Aatish Bajaam Aaya To Kya
Aah, Jab Gulshan Ki Jamiat Preshan Ho ChukkiPhool Ko Baad-e-Bahari Ka Payam Aya To Kya
Akhir-e-Shab Deeb Ke Qabil Thi Bismil Ki TarapSubahdam Koi Agar Balaye Baam Aya To Kya
Bujh Gya Woh Shaola Jo Maqsood-e-Har Parwana ThaAb Koi Soudai-e-Souz-e-Tamam Aya To Kya
Shama-e-Mehfil Ho Ke Tu Jab Souz Se Khali RahaTere Parwane Bhi Iss Lazzat Se Baigane Rahe
Rishta-e-Ulfat Mein Jab In Ko Pero Sakta Tha TuPhir Preshan Kyun Teri Tasbeeh Ke Dane Rahe
Shauq-e-Beparwa Gya, Fikr-e-Falak Pema GyaTeri Mehfil Main Na Diwane Na Farzane Rahe
Woh Jigar Souzi Nahin, Wo Shaola Ashaami NahinFaida Phir Kya Jo Gird-e-Shama Parwane Rahe
Khair, Tu Saqi Sahi Lekin Pilaye Ga KiseAb Na Woh Mai-Kash Rahe Baqi Na Maikhane Rahe
Ro Rahi Hai Aaj Ek Tooti Huwi Meena UsseKal Talak Gardish Mein Jis Saqi Ke Paimane Rahe
Aaj Hain Khamosh Woh Dasht-e-Junoon Parwar JahanRaqs Mein Laila Rahi, Laila Ke Diwane Rahe