Har Nafas Iqbal Tera Aah Mein Mastoor HaiSeena’ay Sozaan Tera Faryad Se Maamoor Hai
Naghama’ay Umeed Teri Barbat-e-Dil Mein NahinHum Samajhte Hain Ye Laila Tere Mahmil Mein Nahin
Gosh Awaz-e-Surood-e-Rafta Ka Joya (Talash) TeraAur Dil Hungama’ay Hazir Se Be Parwa Tera
Qissa’ay Gul Hum Nawayan-e-Chaman Sunte NahinAhl-e-Mehfil Tera Pegham-e-Kuhan Sunte Nahin
Ae Dara’ay Karwan-e-Khufta Pa! Khamosh RehHai Bohat Yaas Afreen Teri Sada Khamosh Reh
Zinda Phir Woh Mehfil-e-Dairina Ho Sakti NahinShama Se Roshan Shab-e-Dosheena Ho Sakti Nahin
Hum Nasheen! Muslim Hun Mein, Touheed Ka Hamil Hun MainIss Sadaqat Par Azal Se Shahid-e-Adil Hun Main
Nabz-e-Moujudat Main Paida Hararat Iss Se HaiAur Muslim Ke Takhiyyul Main Jasarat Iss Se Hai
Haq Ne Alam Iss Sadaqat Ke Liye Paida KiyaAur Mujhe Is Ski Hifazat Ke Liye Paida Kiya
Dehr Mein Gharat Gar-e-Batil Prasti Main HuwaHaq To Ye Hai Hafiz-e-Namoos-e-Hasti Main Huwa
Meri Hasti Pairhan Uryani-e-Alam Ki HaiMere Mit Jane Se Ruswayi Bani Adam Ki Hai
Qismat-e-Alam Ka Muslim Koukab-e-Tabinda HaiJis Ki Tabani Se Afsoon-e-Sehar Sharminda Hai
Ashkara Hain Meri Ankhon Pe Asrar-e-HayatKeh Nahi Sakte Mujhe Naumeed-e-Paikaar-e-Hayat
Kab Dra Sakta Hai Gham Ka Arzi Manzar MujheHai Bharosa Apni Millat Ke Muqaddar Par Mujhe
Yaas Ke Unsar Se Hai Azad Mera RozgaarFateh-e-Kamil Ki Khabar Deta Hai Josh-e-Karzaar
Haan Ye Sach Hai Chashme Bar Ehd-e-Kuhan Rehta Hun MainAhl-e-Mehfil Se Purani Dastan Kehta Hun Mein
Yad-e-Ehd-e-Rafta Meri Khak Ko Ikseer HaiMera Mazi Mere Istaqbal Ki Tafseer Hai
Samne Rakhta Hun Uss Dour-e-Nishat Afza Ko MainDekhta Hun Dosh Ke Aaeene Mein Farda Ko Main