رمزِ زندگیRamz E Zindagi

تہذيب حاضر

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath

Hararat Hai Bala Ki Badah-e-Tehzeeb-e-Hazir MeinBharak Utha Bhbooka Ban Ke Muslim Ka Tan-e-Khaki
Kiya Zarre Ko Jugnu De Ke Taab-e-Mustaar Iss NeKoi Dekhe To Shoukhi Aftab-e-Jalwa Farma Ki
Taghiyur Aa Gya Aesa Mudabbar Mein, Takhiyul MeinHansi Samjhi Gyi Gulshan Mein Ghunchon Ki Jigar Chaki
Kiya Gum Taza Parwazon Ne Apna Ashiyan  LekinManazir Dilkusha Dikhla Gyi Sahir Ki Chalaki
Hayat-e-Taza Apne Sath Layi Lazzatain Kya KyaRaqabat, Khud-Faramoshi, Na-Shikeebai, Hawasnaki
Farogh-e-Shama Se Bazm-e-Muslim Jagmaga UthiMagar Kehti Hai Parwanon Se Meri Kuhna Idraaki
“Tu Ae Parwana! Aen Garmi Za Shama-e-Mehfile DariChoman Dar Aatish-e-Khud Souz Agar Souz-e-Dile Dari”