رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دل گیا رونق حیات گئی

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 14 sher · Roman Urdu ke saath

dil gayā raunaq-e-hayāt ga.īġham gayā saarī kā.enāt ga.ī
dil dhaḌakte hī phir ga.ī vo nazarlab tak aa.ī na thī ki baat ga.ī
din kā kyā zikr tīra-baḳhtoñ meñek raat aa.ī ek raat ga.ī
terī bātoñ se aaj to vaa.izvo jo thī ḳhvāhish-e-najāt ga.ī
un ke bahlā.e bhī na bahlā dilrā.egāñ sa.ī-e-iltifāt ga.ī
marg-e-āshiq to kuchh nahīñ lekinik masīhā-nafas kī baat ga.ī
ab junūñ aap hai garebāñ-gīrab vo rasm-e-takallufāt ga.ī
ham ne bhī vaz-e-ġham badal Daalījab se vo tarz-e-iltifāt ga.ī
tark-e-ulfat bahut bajā nāsehlekin us tak agar ye baat ga.ī
haañ maze luuT le javānī kephir na aa.egī ye jo raat ga.ī
haañ ye sarshāriyāñ javānī kīaañkh jhapkī hī thī ki raat ga.ī
jalva-e-zāt ai ma.āz-allāhtāb-e-ā.īna-e-sifāt ga.ī
nahīñ miltā mizāj-e-dil ham seġhāliban duur tak ye baat ga.ī
qaid-e-hastī se kab najāt 'jigar'maut aa.ī agar hayāt ga.ī