اک لفظ محبت کا ادنی یہ فسانا ہے
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 22 sher · Roman Urdu ke saath
ik lafz-e-mohabbat kā adnā ye fasānā haisimTe to dil-e-āshiq phaile to zamānā hai
ye kis kā tasavvur hai ye kis kā fasānā haijo ashk hai āñkhoñ meñ tasbīh kā daanā hai
dil sañg-e-malāmat kā har-chand nishānā haidil phir bhī mirā dil hai dil hī to zamānā hai
ham ishq ke māroñ kā itnā hī fasānā hairone ko nahīñ koī hañsne ko zamānā hai
vo aur vafā-dushman māneñge na maanā haisab dil kī sharārat hai āñkhoñ kā bahānā hai
shā.ir huuñ maiñ shā.ir huuñ merā hī zamānā haifitrat mirā ā.īnā qudrat mirā shānā hai
jo un pe guzartī hai kis ne use jaanā haiapnī hī musībat hai apnā hī fasānā hai
kyā husn ne samjhā hai kyā ishq ne jaanā haiham ḳhāk-nashīnoñ kī Thokar meñ zamānā hai
āġhāz-e-mohabbat hai aanā hai na jaanā haiashkoñ kī hukūmat hai aahoñ kā zamānā hai
āñkhoñ meñ namī sī hai chup chup se vo baiThe haiñnāzuk sī nigāhoñ meñ nāzuk sā fasānā hai
ham dard-ba-dil nālāñ vo dast-ba-dil hairāñai ishq to kyā zālim terā hī zamānā hai
yā vo the ḳhafā ham se yā ham haiñ ḳhafā un sekal un kā zamāna thā aaj apnā zamānā hai
ai ishq-e-junūñ-pesha haañ ishq-e-junūñ-peshaaaj ek sitamgar ko hañs hañs ke rulānā hai
thoḌī sī ijāzat bhī ai bazm-gah-e-hastīaa nikle haiñ dam-bhar ko ronā hai rulānā hai
ye ishq nahīñ āsāñ itnā hī samajh liijeik aag kā dariyā hai aur Duub ke jaanā hai
ḳhud husn-o-shabāb un kā kyā kam hai raqīb apnājab dekhiye ab vo haiñ ā.īna hai shānā hai
tasvīr ke do ruḳh haiñ jaañ aur ġham-e-jānāñik naqsh chhupānā hai ik naqsh dikhānā hai
ye husn-o-jamāl un kā ye ishq-o-shabāb apnājiine kī tamannā hai marne kā zamānā hai
mujh ko isī dhun meñ hai har lahza basar karnāab aa.e vo ab aa.e lāzim unheñ aanā hai
ḳhuddārī-o-mahrūmī mahrūmī-o-ḳhuddārīab dil ko ḳhudā rakkhe ab dil kā zamānā hai
ashkoñ ke tabassum meñ aahoñ ke tarannum meñma.asūm mohabbat kā ma.asūm fasānā hai
aañsū to bahut se haiñ āñkhoñ meñ 'jigar' lekinbañdh jaa.e so motī hai rah jaa.e so daanā hai