رمزِ زندگیRamz E Zindagi

عشق میں لا جواب ہیں ہم لوگ

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 16 sher · Roman Urdu ke saath

ishq meñ lā-javāb haiñ ham logmāhtāb āftāb haiñ ham log
garche ahl-e-sharāb haiñ ham logye na samjho ḳharāb haiñ ham log
shaam se aa ga.e jo piine parsub.h tak āftāb haiñ ham log
ham ko dāvā-e-ishq-bāzī haimustahiqq-e-azāb haiñ ham log
naaz kartī hai ḳhāna-vīrānīaise ḳhāna-ḳharāb haiñ ham log
ham nahīñ jānte ḳhizāñ kyā haikushtagān-e-shabāb haiñ ham log
tū hamārā javāb hai tanhāaur terā javāb haiñ ham log
tū hai dariyā-e-husn-o-mahbūbīshakl-e-mauj-o-habāb haiñ ham log
go sarāpā hijāb haiñ phir bhītere ruḳh kī naqāb haiñ ham log
ḳhuub ham jānte haiñ apnī qadrtere nā-kāmyāb haiñ ham log
ham se ġhaflat na ho to phir kyā horah-rav-e-mulk-e-ḳhvāb haiñ ham log
jāntā bhī hai us ko tū vaa.izjis ke mast-o-ḳharāb haiñ ham log
ham pe nāzil huā sahīfa-e-ishqsāhibān-e-kitāb haiñ ham log
har haqīqat se jo guzar jaa.eñvo sadāqat-ma.āb haiñ ham log
jab milī aañkh hosh kho baiThekitne hāzir-javāb haiñ ham log
ham se pūchho 'jigar' kī sar-mastīmahram-e-āñ-janāb haiñ ham log