حسرت انتظار یار نہ پوچھ
Ghazal · Noon Meem Rashid · ن م راشد · 8 sher · Roman Urdu ke saath
hasrat-e-intizār-e-yār na pūchhhaa.e vo shiddat-e-intizār na pūchh
rañg-e-gulshan dam-e-bahār na pūchhvahshat-e-qalb-e-be-qarār na pūchh
sadma-e-andalīb-e-zār na pūchhtalḳh anjāmi-e-bahār na pūchh
ġhair par lutf maiñ rahīn-e-sitammujh se ā.īna-e-bazm-e-yār na pūchh
de diyā dard mujh ko dil ke evazhaa.e lutf-e-sitam-shi.ār na pūchh
phir huī yād-e-mai-kashī taazamasti-e-abr-e-nau-bahār na pūchh
mujh ko dhokā hai tār-e-bistar kānā-tavāni-e-jism-e-yār na pūchh
maiñ huuñ nā-āshnā-e-vasl hunūzmujh se kaif-e-visāl-e-yār na pūchh