عشق میں صبر و رضا درکار ہے
Ghazal · Wali Dakani · ولی دکنی · 7 sher · Roman Urdu ke saath
ishq meñ sabr-o-razā darkār haifikr-e-asbāb-e-vafā darkār hai
chaak karne jāma-e-sabr-o-qarārdilbar-e-rañgīñ qabā darkār hai
har sanam tasḳhīr-e-dil kyūñkar sakedilrubā.ī kuuñ adā darkār hai
zulf kuuñ vā kar ki shāh-e-ishq kuuñsāya-e-bāl-e-humā darkār hai
rakh qadam mujh dīda-e-ḳhūñ-bār pargar tujhe rañg-e-hinā darkār hai
dekh us kī chashm-e-shahlā kuuñ agarnargis-e-bāġh-e-hayā darkār hai
azm us ke vasl kā hai ai 'valī'lekin imdād-e-ḳhudā darkār hai