رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دل پریشان ہوا جاتا ہے

Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 15 sher · Roman Urdu ke saath

dil pareshān huā jaatā haiaur sāmān huā jaatā hai
ḳhidmat-e-pīr-e-muġhāñ kar zāhidtū ab insān huā jaatā hai
maut se pahle mujhe qatl karous kā ehsān huā jaatā hai
lazzat-e-ishq ilāhī miT jaa.edard armān huā jaatā hai
dam zarā lo ki mirā dam tum parabhī qurbān huā jaatā hai
girya kyā zabt karūñ ai nāsehashk paimān huā jaatā hai
bevafā.ī se bhī rafta raftavo mirī jaan huā jaatā hai
arsa-e-hashr meñ vo aa pahuñchesaaf maidān huā jaatā hai
madad ai himmat-e-dushvār-pasañdkaam āsān huā jaatā hai
chhā.ī jaatī hai ye vahshat kaisīghar bayābān huā jaatā hai
shikva sun aañkh milā kar zālimkyuuñ pashemān huā jaatā hai
ātish-e-shauq bujhī jaatī haiḳhaak armān huā jaatā hai
uzr jaane meñ na kar ai qāsidtū bhī nādān huā jaatā hai
muztarib kyuuñ na hoñ armāñ dil meñqaid mehmān huā jaatā hai
'dāġh' ḳhāmosh na lag jaa.e nazarsher dīvān huā jaatā hai