رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ان آنکھوں نے کیا کیا تماشا نہ دیکھا

Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 14 sher · Roman Urdu ke saath

in āñkhoñ ne kyā kyā tamāshā na dekhāhaqīqat meñ jo dekhnā thā na dekhā
un āñkhoñ ke qurbān jā.ūñ jinhoñ nehazāroñ hijāboñ meñ parvāna dekhā
na himmat na qismat na dil hai na āñkheñna DhūñDā na paayā na samjhā na dekhā
marīzān-e-ulfat kī kyā be-kasī haimasīhā ko bhī chāra-farmā na dekhā
bahut dard-mandoñ ko dekhā hai tū neye siina ye dil ye kalejā na dekhā
vo kab dekh saktā hai us kī tajallījis insān ne apnā hī jalvā na dekhā
bahut shor sunte the is anjuman kāyahāñ aa ke jo kuchh sunā thā na dekhā
safā.ī hai bāġh-e-mohabbat meñ aisīki bād-e-sabā ne bhī tinkā na dekhā
vo thā jalva-ārā magar tū ne muusāna dekhā na dekhā na dekhā na dekhā
gayā kārvāñ chhoḌ kar mujh ko tanhāzarā mere aane kā rastā na dekhā
kahāñ naqsh-e-avval kahāñ naqsh-e-sānīḳhudā kī ḳhudā.ī meñ tujh sā na dekhā
tirī yaad hai yā hai terā tasavvurkabhī 'dāġh' ko ham ne tanhā na dekhā