صاف کب امتحان لیتے ہیں
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 16 sher · Roman Urdu ke saath
saaf kab imtihān lete haiñvo to dam de ke jaan lete haiñ
phir na aanā agar koī bhejenāma-bar se zabān lete haiñ
ab bhī gir paḌ ke zof se naalesātvāñ āsmān lete haiñ
tere ḳhanjar se bhī to ai qātilnok kī nau-javān lete haiñ
apne bismil kā sar hai zaanū parkis mohabbat se jaan lete haiñ
ye na kah ham se tere muñh meñ ḳhaakis meñ terī zabān lete haiñ
kaun jaatā hai us galī meñ jiseduur se pāsbān lete haiñ
manzil-e-shauq tai nahīñ hotīThekiyāñ nā-tavān lete haiñ
kar guzarte haiñ ho burī ki bhalīdil meñ jo kuchh vo Thaan lete haiñ
vo jhagaḌte haiñ jab raqīboñ sebiich meñ mujh ko saan lete haiñ
zid har ik baat par nahīñ achchhīdost kī dost maan lete haiñ
'dāġh' bhī hai ajiib sehr-bayāñbaat jis kī vo maan lete haiñ