ساز یہ کینہ ساز کیا جانیں
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 9 sher · Roman Urdu ke saath
saaz ye kīna-sāz kyā jāneñnaaz vaale niyāz kyā jāneñ
sham.a-rū aap go hue lekinlutf-e-soz-o-gudāz kyā jāneñ
kab kisī dar kī jab.ha-sā.ī kīshaiḳh sāhab namāz kyā jāneñ
jo rah-e-ishq meñ qadam rakkheñvo nasheb-o-farāz kyā jāneñ
pūchhiye mai-kashoñ se lutf-e-sharābye mazā pāk-bāz kyā jāneñ
bale chitvan tirī ġhazab rī nigāhkyā kareñge ye naaz kyā jāneñ
jin ko apnī ḳhabar nahīñ ab takvo mire dil kā raaz kyā jāneñ
hazrat-e-ḳhizr jab shahīd na hoñlutf-e-umr-e-darāz kyā jāneñ
jo guzarte haiñ 'dāġh' par sadmeaap banda-navāz kyā jāneñ