عذر ان کی زبان سے نکلا
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 26 sher · Roman Urdu ke saath
ḳhār-e-hasrat bayān se niklādil kā kāñTā zabān se niklā
khā ga.e the vafā kā dhokā hamjhuuT sach imtihān se niklā
dil meñ rahne na duuñ tirā shikvadil meñ aayā zabān se niklā
tum baraste rahe sar-e-mahfilkuchh bhī merī zabān se niklā
sach to ye hai mo.āmla dil kābāhar apne gumān se niklā
us ko aayat hadīs kyā samjheñjo tumhārī zabān se niklā
paḌ gayā jo zabāñ se terī harfphir na apne makān se niklā
mar ga.e ham magar tirā armāndil se niklā na jaan se niklā
rāh-rav-e-rāh-e-ishq the lākhoñaage maiñ kārvān se niklā
samjho patthar kī tum lakīr usejo hamārī zabān se niklā
bazm se tum ko le ke jā.eñgekaam kab phūl-pān se niklā
kyā muravvat hai nāvak-e-dil-dozpahle hargiz na jaan se niklā
tere dīvānoñ kā bhī lashkar aajkis tajammul se shaan se niklā
muḌ ke dekhā to maiñ ne kab dekhāduur jab pāsbān se niklā
vo hile lab tumhāre vaade parvo tumhārī zabān se niklā
us kī bāñkī adā ne jab maarādam mirā aan taan se niklā
mere aañsū kī us ne kī tārīfḳhuub motī ye kaan se niklā
ham khaḌe tum se bāteñ karte theġhair kyuuñ darmiyān se niklā