رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñabhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ
tahī zindagī se nahīñ ye fazā.eñyahāñ saikḌoñ kārvāñ aur bhī haiñ
qanā.at na kar ālam-e-rañg-o-bū parchaman aur bhī āshiyāñ aur bhī haiñ
agar kho gayā ik nasheman to kyā ġhammaqāmāt-e-āh-o-fuġhāñ aur bhī haiñ
tū shāhīñ hai parvāz hai kaam terātire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ
isī roz o shab meñ ulajh kar na rah jāki tere zamān o makāñ aur bhī haiñ
ga.e din ki tanhā thā maiñ anjuman meñyahāñ ab mire rāz-dāñ aur bhī haiñ