baḳhshe hai jalva-e-gul zauq-e-tamāshā 'ġhālib'chashm ko chāhiye har rañg meñ vā ho jaanā
Woh Kaleem Be-Tajalli, Woh Maseeh Be-SaleebNeest Peghambar Wa Lekin Dar Baghal Darad Kitab
laḳht-e-jigar se hai rag-e-har-ḳhār shāḳh-e-gultā chand bāġh-bāni-e-sahrā kare koī
Aab-o-Gill Teri Hararat Se Jahan-e-Souz-o-SaazAbla-e-Jannat Teri Taleem Se Danaye Kaar
fazā ḳhanda gul tañg o zauq aish be pardāfarāġhat gaah āġhosh vidā.a dil pasand aayā
Dil-O-Nazar Bhi Issi Aab-O-Gil Ke Hain IjazNahin To Hazrat-E-Insan Ki Intiha Kya Hai?
ġhārat-gari-e-nāmūsh na ho gar havas-e-zarkyuuñ shāhid-e-gul baaġh se bāzār meñ aave
Kali Gul Ki Hai Mohtaj-E-Kushood AajNaseem-E-Subah-E-Farada Par Nazar Kya !
chhiḌke hai shabnam ā.īna-e-barg-e-gul par aabai andalīb vaqt-e-vadā-e-bahār hai
Na Kar Zikr-E-Firaq-O-AshanaiKe Asal-E-Zindagi Hai Khud-Numai
ai andalīb yak kaf-e-ḳhas bahr-e-āshyāñtūfān-e-āmad āmad-e-fasl-e-bahār hai