aariz ke qarīn gulāb kā phuulham-rañg kī duun ho ga.ī hai
jhūmtī hai shāḳh-e-gul khilte haiñ ġhunche dam-ba-dambā-asar gulshan meñ tahrīk-e-sabā ho yā na ho
na thā shahr-e-dehlī ye thā chaman kaho kis tarah kā thā yaañ amanjo ḳhitāb thā vo miTā diyā faqat ab to ujḌā dayār hai
mirā to farz chaman-bandi-e-jahāñ hai faqatmirī balā se bahār aa.e yā ḳhizāñ guzre
vaah kyā muñh se phuul jhaḌte haiñḳhūb-rū ho ke ye kalām ḳharāb
sarv yā gul aañkh meñ jachte nahīñdil pe hai naqsh us kī rānā.ī bahut
sajāyā ham ne mazāmīñ ke taaza phūloñ sebasā diyā hai in ujḌī huī zamīnoñ ko
phir huī yād-e-mai-kashī taazamasti-e-abr-e-nau-bahār na pūchh
darkār hai shaguftan-e-gul-hā-e-aish kosub.h-e-bahār pumba-e-mīnā kaheñ jise
Thahar sakā na havā-e-chaman meñ ḳhema-e-gulyahī hai fasl-e-bahārī yahī hai bād-e-murād
ba-rañg-e-bū-e-gul us baaġh ke ham āshnā hoteki hamrāh-e-sabā Tuk sair karte phir havā hote
khile har ġhuncha-e-dil jyuuñ gul-e-shādāb shādī suuñagar Tuk ghar suuñ bāhar vo bahār-dil-kushā nikle
shāhidān-e-lāla-o-gul kī ḳhabar laa.ī hai kuchhsaal bhar ke ba.ad aa.ī ai sabā achchhī tarah
vajd meñ laate haiñ mujh ko bulbuloñ ke zamzameaap ke nazdīk bā-ma.anī sadā ho yā na ho
yahī tañg haal jo sab kā hai ye karishma qudrat-e-rab kā haijo bahār thī so ḳhizāñ huī jo ḳhizāñ thī ab vo bahār hai
bharī bahār meñ tārāji-e-chaman mat pūchhḳhudā kare na phir āñkhoñ se vo samāñ guzre
bahut dard-mandoñ ko dekhā hai tū neye siina ye dil ye kalejā na dekhā
'dāġh' o 'majrūh' ko sun lo ki phir is gulshan meñna sunegā koī bulbul kā tarāna hargiz
siyāh-baḳhtoñ ko yuuñ baaġh se nikāl ai charḳhki chaar phuul to dāman meñ hoñ sipar kī tarah
gul-hā-e-husn-e-yār meñ dāman-kash-e-nazarmaiñ ab harīs-e-gulshan-e-jannat nahīñ rahā
kis fursat-e-visāl pe hai gul ko andalībzaḳhm-e-firāq ḳhanda-e-be-jā kaheñ jise
thā arenī go kalīm maiñ arenī go nahīñus ko taqāzā ravā mujh pe taqāzā harām
garm ash.ār 'mīr' darūna dāġhoñ se ye bhar deñgezard-rū shahr meñ phiriyegā galiyoñ meñ ne gul chuniyegā
gul ke charāġh gul ho yak baar jhaḌ paḌeñ sabmujh aah kī hikāyat boleñ agar sabā suuñ
shīsha-o-jām-o-subū bhar le mai-e-gul-rañg seaaj saaqī ghir ke aa.ī hai ghaTā achchhī tarah
huā huuñ is qadar afsurda rañg-e-bāġh-e-hastī sehavā.eñ fasl-e-gul kī bhī nashāt-afzā nahīñ hotīñ
shab-o-roz phuul meñ jo tule kaho ḳhār-e-ġham ko vo kyā sahemile tauq qaid meñ jab unheñ kahā gul ke badle ye haar hai
gulshan-parast huuñ mujhe gul hī nahīñ aziizkāñToñ se bhī nibāh kiye jā rahā huuñ maiñ
safā.ī hai bāġh-e-mohabbat meñ aisīki bād-e-sabā ne bhī tinkā na dekhā
kabk o qumrī meñ hai jhagḌā ki chaman kis kā haikal batā degī ḳhizāñ ye ki vatan kis kā hai
nahīf-o-zār haiñ kyā zor bāġhbāñ se chalejahāñ biThā diyā bas rah ga.e shajar kī tarah
hai savā neze pe us ke qāmat-e-nau-ḳhez seāftāb-e-sub.h-e-mahshar hai gul-e-dastār-e-dost