na uTThā phir koī 'rūmī' ajam ke lāla-zāroñ sevahī āb-o-gil-e-īrāñ vahī tabrez hai saaqī
chalte ho to chaman ko chaliye kahte haiñ ki bahārāñ haipaat hare haiñ phuul khile haiñ kam-kam bād-o-bārāñ hai
jo hai tere dahan meñ rañg o ḳhūbīkahāñ ye rañg ye ḳhūbī kalī meñ
ghaTā.eñ ghir ke kyā kyā hasrat-e-farhād par roiiñchaman tak aa ga.iiñ nahreñ pahāḌoñ se ravāñ ho kar
bazm-e-yārāñ se phirī bād-e-bahārī māyūsek sar bhī use āmāda-e-saudā na milā
hote hote chashm se aaj ashk-bārī rah ga.īaabrū baare tirī abr-e-bahārī rah ga.ī
ham nahīñ jānte ḳhizāñ kyā haikushtagān-e-shabāb haiñ ham log
chaman meñ naaz bulbul ne kiyā jo apnī naale parchaTak kar ġhuncha bolā kyā kisī se ho nahīñ saktā
aañkh paḌtī hai har ik ahl-e-nazar kī tum partum meñ ruup ai gul o nasrīn o saman kis kā hai
vajd ho bulbul-e-tasvīr ko jis kī bū seus se gul-rañg kā da.avā kare phir kis rū se
laġhzishat-e-mastāna o josh-e-tamāshā hai 'asad'ātish-e-mai se bahār-e-garmī-e-bāzār-e-dost
uryāñ haiñ tire chaman kī hūreñchāk-e-gul-o-lāla ko rafū kar
chaman meñ gul ne jo kal dāva-e-jamāl kiyājamāl-e-yār ne muñh us kā ḳhuub laal kiyā
bulbul o parvāna karnā dil ke ta.iiñkaam hai tujh chehra-e-gul-nār kā
nazākat kā ye aalam phuul bhī toḌe to bal khā karna jaane dil mirā kis tarah toḌā pahlvāñ ho kar
gul ke ḳhvāhāñ to nazar aa.e bahut itr-faroshtālib-e-zamzama-e-bulbul-e-shaidā na milā
bulbul ke hosh nik.hat-e-gul kī tarah uḌāgulshan meñ mere saath zarā itr mal ke chal
nikhartā aa rahā hai rañg-e-gulshanḳhas o ḳhāshāk jalte jā rahe haiñ
ishq ke aate hī muñh par mire phūlī hai basantho gayā zard ye shāgird jab ustād aayā
shaan dekhī nahīñ gar tū ne chaman meñ us kīvalvala tujh meñ ye ai murġh-e-chaman kis kā hai
daam gar sabze meñ pinhāñ kījiye tā.ūs hojosh-e-nairañg-e-bahār arz-e-sahrā-dāda se
naġhma-e-nau-bahār agar mere nasīb meñ na hous dam-e-nīm-soz ko tā.irak-e-bahār kar
bahār-e-rafta phir aa.ī tire tamāshe kochaman ko yumn-e-qadam ne tire nihāl kiyā
fauqiyat le gayā huuñ bulbul suuñgarche mansab meñ do-hazārī hai
ḳhizāñ ke aane se pahle hī thā mujhe ma.alūmki rañg-o-bū-e-chaman kā kuchh e'tibār nahīñ
vaah kyā raah dikhā.ī hai hameñ murshid nekar diyā kaabe ko gum aur kalīsā na milā
jī dhaḌaktā hai kahīñ tār-e-rag-e-gul chubh na jaa.esej par phūloñ kī karte qasd-e-ḳhuftan aap haiñ
haa.e ye husn-e-tasavvur kā fareb-e-rañg-o-būmaiñ ye samjhā jaise vo jān-e-bahār aa hī gayā