Bole Huzoor (S.A.W.) , Chahiye Fikr-e-Ayaal BhiKehne Laga Woh Ishq-o-Mohabbat Ka Raaz-Dar
Umer Bhar Teri Mohabbat Meri Khidmat RahiMain Teri Khidmat Ke Qabil Jab Huwa Tu Chal Basi
Karobar-e-Zindagaani Mein Woh Hum Pehlu MeraWoh Mohabbat Mein Teri Tasveer, Woh Bazoo Mera
Tukhm Jis Ka Tu Humari Kisht-e-Jaan Mein Bo GyiShirkat-e-Gham Se Woh Ulfat Aur Mohkam Ho Gyi
Fazaye Ishq Par Tehreer Ki Uss Ne Nawa AesiMuyassar Jis Se Hain Ankhon Ko Ab Tak Ashak-e-Unabi
Ye Uqdah Haye Siasat Tujhe Mubarik HonKe Faiz-e-Ishq Se Nakhan Mera Hai Seena Kharash
Aarzi Hai Shan-e-Hazir, Sitwat-e-Ghaeeb MadaamIss Sadaqat Ko Mohabbat Se Hai Rabt-e-Jaan-o-Tan
Iqbal ! Kis Ke Ishq Ka Ye Faiz-e-Aam HaiRumi Fana Huwa, Habshi Ko Dawam Hai
Be Taab Ho Raha Hun Mein Firaaq-e- Rasool (S.A.W.) MeinEk Dam Ki Zindagi Bhi Mohabbat Mein Hai Haraam
Bola Ameer-e-Fouj Ke “Woh Naujawan Hai TuPeeron Pet Ere Ishq Ka Wajib Hai Ehtaram
Pure Kare Khuda’ay Muhammad (S.A.W.) Teri MuradKitna Buland Teri Mohabbat Ka Hai Maqam!
Taza Weerane Ki Soda’ay Mohabbat Ko TalashAur Abadi Mein Tu Zanjeeri Kisht-O-Nakheel
Yehi Maqsood-E-Fitrat Hai, Yehi Ramz-E-MuslamaniAkhuwat Ki Jahangeeri, Mohabat Ki Farawani
Pukhta Hoti Hai Agar Muslihat Andaish Ho AqalIshq Ho Muslihat Andaish To Hai Khaam Abhi