Be-Khatar Kood Para Aatish-e-Namrood Mein IshqAqal Hai Mehv-e-Tamasha-e-Lab-e-Baam Abhi
Ishq Farmouda-e-Qasid Se Subak Gaam-e-AmalAqal Samajhi Hi Nahin Maani-e-Pegham Abhi
Shewa-e-Ishq Hai Azadi-o-Dehr AshobiTu Hai Zunnari-e-Butkhana-e-Ayyam Abhi
نہ وہ عشق میں رہیں گرمیاں،نہ وہ حسن میں رہیں شوخیاںنہ وہ غزنوی میں تڑپ رہی، نہ وہ خم ہے زلف ایاز میں
Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan, Na Woh Husn Mein Raheen ShaukiyanNa Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi, Na Kham Hai Zulf-e-Ayaz Mein
Aqal Ko Tanqeed Se Fusat NahinIshq Par Amaal Ki Bunyad Rakh
The Woh Bhi Din Ke Khidmat-e-Ustad Ke EwzDil Chahta Tha Hadiya-e-Dil Paish Kijiye
Ya Baham Pyar Ke Jalse The, Dastoor-e-Mohabbat Qaeem ThaYa Behas Mein Urdu Hindi Hai Ya Qurbani Ya Jhatka Hai
Hum Puchte Hain Muslim-e-Ashiq Mazaj SeUlfat Buton Se Hai To Barhman Se Bair Kya!
Woh Miss Boli Irada Khudkushi Ka Jab Kiya Main NeMuhazzib Hai Tu Ae Ashiq! Qadam Bahir Na Dhar Had Se
Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-PanIshq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan
Ishq Ki Garmi Se Hai Maarka-e-KainatIlm Maqam-e-Sifat, Ishq Tamasha-e-Zaat
Ishq Sukoon-o-Sabat,Ishq Hayat-o-MamatIlm Hai Paida Sawal, Ishq Hai Pinhan Jawab!
Ishq Ke Hain Maujazat Saltanat-o-Faqr-o-DeenIshq Ke Adna Ghulam Sahib-e-Taj-o-Nageen