Ishq Makan-o-Makeen, Ishq Zaman-o-ZameenIshq Sarapa Yaqeen, Aur Yaqeen Fatah-e-Bab!
Shara-e-Mohabbat Mein Hai Ishrat-e-Manzil HaraamShorish-e-Toofan Halal, Lazzat-e-Sahil Haraam
Ishq Pe Bijli Halal, Ishq Pe Hasil HaraamIlm Hai Ibn-Ul-Kitab, Ishq Umm-Ul-Kitab!
Ishq-o-Masti Ne Kiya Zabt-e-Nafs Mujh Pe HaramKe Girah Ghunche Ki Khulti Nahin Be-Mouj-e-Naseem
Ye Jabr-e-Qehr Nahin, Ye Ishq-o-Masti HaiKe Jabr-o-Qehr Se Mumkin Nahin Jahan Baani
Khawar Jahan Mein Kabhi Ho Nahin Sakti Woh QoumIshq Ho Jis Ka Jasoor, Faqr Ho Jis Ka Ghayoor
Murda, La-Deeni-e-Afkar Se Afrang Mein IshqAqal Be-Rabti-e-Afkar Se Mashriq Mein Ghulam!
Begana Rahe Deen Se Agar Madrasa-e-ZanHai Ishq-o-Mohabbat Ke Liye Ilm-o-Hunar Mout
Ishq Ab Pairwi-e-Aqal-e-Khudadad KareAabru Koocha-e-Janana Mein Na Barbad Kare
Mehr-o-Mah-o-Mushtari, Chand Nafs Ka FaroghIshq Se Hai Paidar Teri Khudi Ka Wujood
Ishq-o-Masti Ka Janaza Hai Takhiyyul Un KaIn Ke Andaisha-e-Tareek Mein Qoumon Ke Mazar
Uss Ki Nafrat Bhi Umeeq, Uss Ki Muhabbat Bhi UmeeqQeher Bhi Uss Ka Hai Allah Ke Bandon Pe Shafeeq
Ishq Tiniat Mein Firomaya Nahin Misl-e-HawasPar Shahbaz Se Mumkin Nahin Parwaz-e-Magas