Mujh Se Khabar Na Puch Hijab-e-Wujood KiSham-e-Firaq Subah Thi Meri Namood Ki
Ae Shama! Intihaye Faraib-e-Khiyal DekhMasjood-e-Sakinan-e-Falak Ka Maal Dekh
Manzil Ka Ishtiaq Hai, Gum Karda Rah HunAe Shama! Main Aseer-e-Faraib-e-Nigah Hun
Mehndi Lage Suraj Jab Sham Ki Dulhan KoSurkhi Liye Sunehri Har Phool Ki Qaba Ho
Raton Ko Chalne Wale Reh Jaen Thak Ke Jis DamUmeed Un Ki Mera Toota Huwa Diya Ho
Pichle Pehr Ki Koeel, Woh Subah Ki MouzanMain Uss Ka Hamnawa Hun, Woh Meri Humnawa Ho
Kanon Pe Ho Na Mere Dair-o-Haram Ka EhsanRozan Hi Jhonpari Ka Mujh Ko Sehr Numa Ho
Ho Dar-e-Gosh-e-Uroos-e-Subah Woh Gohar Hai TuJis Pe Seemaye Ufaq Nazaan Ho Woh Zaiwar Hai Tu
Safha-e-Ayyam Se Dagh-e-Madaad-e-Shab MitaAsman Se Naqsh-e-Batil Ki Tarah Koukab Mita
Didah-e-Batin Pe Raaz-e-Nazm-e-Qudrat Ho AyanHo Shanasaye Falak Shama-e-Takhiyul Ka Duhwan