jis jā nasīm shānā-kash-e-zulf-e-yār hainaafā dimāġh-e-āhu-e-dasht-e-tatār hai
tañgī rafīq-e-rah thī adam yā vajūd thāmerā safar ba-tāla-e-chashm-e-hasūd thā
pūchhā thā garche yaar ne ahvāl-e-dil magarkis ko dimāġh-e-minnat-e-guft-o-shunūd thā
kyā bayāñ kar ke mirā ro.eñge yaarmagar āshufta-bayānī merī
sambhalne de mujhe ai nā-ummīdī kyā qayāmat haiki dāmān-e-ḳhayāl-e-yār chhūTā jaa.e hai mujh se
dost-dār-e-dushman hai e'timād-e-dil ma.alūmaah be-asar dekhī naala nā-rasā paayā
kī ham-nafasoñ ne asar-e-giryā meñ taqrīrachchhe rahe aap is se magar mujh ko Dubo aa.e
'ġhālib' nadīm-e-dost se aatī hai bū-e-dostmashġhūl-e-haq huuñ bandagi-e-bū-turāb meñ