ishq kī raah meñ hai charḳh-e-makaukab kī vo chaalsust-rau jaise koī ābla-pā hotā hai
"Dile Ke Ashiq Wa Sabir Bood Magar Sang AstZa Ishq Ta Ba Saboori Hazar Farsang Ast"
ab kyā karūñ maiñ fitrat-e-nākām-e-ishq kojitne the hādsāt mujhe raas aa ga.e
ḳhuub thā pahle se hote jo ham apne bad-ḳhvāhki bhalā chāhte haiñ aur burā hotā hai
Khudi Hai Zinda To Hai Mout Ek Maqam-E-HayatKe Ishq Mout Se Karta Hai Imtihan-E-Sabaat
tirī ḳhushī se agar ġham meñ bhī ḳhushī na huīvo zindagī to mohabbat kī zindagī na huī
sitam-kash maslahat se huuñ ki ḳhūbāñ tujh pe āshiq haiñtakalluf bartaraf mil jā.egā tujh sā raqīb āḳhir
Vo Purane Chaak Jin Ko Aqal Si Sakti NahinIshq Sita Hai Unhain Be-Sozan-O-Taar-E-Rafoo
vo ham haiñ ahl-e-mohabbat ki jaan se dil sebahut buḳhār uThe aañkh shabnamī na huī
vārasta us se haiñ ki mohabbat hī kyuuñ na hokiije hamāre saath adāvat hī kyuuñ na ho
Hoti Hai Ussay Aap Ki Soorat Se MohhabatHo Jis Ne Kabi Aik Nazar Aap Ko Dekha
Thahar Thahar dil-e-betāb pyaar to kar luuñab us ke ba.ad mulāqāt phir huī na huī
chhoḌā na mujh meñ zo.af ne rañg iḳhtilāt kāhai dil pe baar naqsh-e-mohabbat hī kyuuñ na ho
Zindagi Ho Meri Parwane Ki Surat Ya RABIlm Ki Shamma Se Ho Mujh ko Mohabbat Ya RAB!
tamām harf-o-hikāyat tamām dīda-o-dilis ehtimām pe bhī sharh-e-āshiqī na huī
paidā huī hai kahte haiñ har dard kī davāyuuñ ho to chāra-e-ġham-e-ulfat hī kyuuñ na ho
Ho Mera Kaam Garibon Ki Himayat KarnaDardmando Se Zaifon Se Mohabbat Karna
fasurda-ḳhātirī-e-ishq ai ma.āz-allāhḳhayāl-e-yār se bhī kuchh shaguftagī na huī