jis qadar jigar ḳhuuñ ho kūcha dādan-e-gul haizaḳhm-e-teġh-e-qātil ko turfa dil-kushā paayā
aik jalwa tha kaleem e toor e sina ke liyetu tajali hai sarapa chasm e beena ke liye
nahīñ bahār ko fursat na ho bahār to haitarāvat-e-chaman o ḳhūbī-e-havā kahiye
junbish e mouj e naseem e subah gehwara banijhoomti hai nasha e husti mein har gul ki kali
kare hai baada tire lab se kasb-e-rañg-e-faroġhḳhat-e-piyāla sarāsar nigāh-e-gul-chīñ hai
tu shanasa e kharash e auqda mushkil nahinae gul e rangeen tere pehlu mein shaid dil nahin
bajā hai gar na sune nāla-hā-e-bulbul-e-zārki gosh-e-gul nam-e-shabnam se pamba-āgīñ hai
iss chaman mein mein sarapa souz o saaz e aarzuaur teri zindagani be gudaz e aarzu
samajh is fasl meñ kotāhi-e-nashv-o-numā 'ġhālib'agar gul sarv ke qāmat pe pairāhan na ho jaave
ah! ye dast e jafa ju ae gul e rangeen nahinkis tarah tujh ko ye samjhaun ke main gulcheen nahin
qafas meñ mujh se rūdād-e-chaman kahte na Dar hamdamgirī hai jis pe kal bijlī vo merā āshiyāñ kyuuñ ho
kam mujh ko didah e hikmat ke uljhairon se kyadidah e bulbul se main karta hun nazara tera