Chaman Mein Lala Dikhata Phirta Hai Dagh Apna Kali Kali KoYe Janta Hai Ke Iss Dikhawe Se Dil Jalon Mein Shumar Ho Ga
کہا جوقمری سے میں نے اک دن ، یہاں کے آزاد پا بہ گل ہیںتوغنچے کہنے لگے ، ہمارے چمن کا یہ رازدار ہو گا
Kaha Jo Qumri Se Main Ne Ek Din, Yahan Ke Azad Pa Ba Gil HainTo Ghunche Kehne Lage, Humare Chaman Ka Ye Raazdaar Ho Ga
Ye Chaman Woh Hai Ke Tha Jis Ke Liye Saman-E-NazLala’ay Sehra Jise Kehte Hain Tehzeeb-E-Hijaz
Jis Ke Gunche The Chaman Saman, Woh Gulshan Hai YehiKanpta Tha Jin Se Roma, Un Ka Madfan Hai Yehi
Qabar Uss Tehzeeb Ki Ye Sarzameen-E-Paak HaiJis Se Taak-E-Gulshan-E-Yourap Ki Rag Namnaak Hai
Nikhat-E-Gul Ki Tarah Pakeezah Hai Iss Ki HawaTurbat-E-Ayub Ansari (R.A.) Se Ati Hai Sada
Jab Talak Baqi Hai Tu Dunya Mein, Baqi Hum Bhi HainSubah Hai Tou Iss Chaman Mein Gohar-E-Shabnam Bhi Hain
Widaa-e-Ghuncha Mein Hai Raaz-e-Afrainash-e-GulAdam, Adam Hai Ke Aaeena Daar-e-Hasti Hai!
Rang-o-Aab-e-Zindagi Se Gul Ba-Daman Hai ZameenSaikron Khoon Gashta Tehzeebon Ka Madfan Hai Zameen
Tujhe Maaloom Hai Ghafil Ke Teri Zindagi Kya HaiKunishti Saaz, Maamoor-e-Nawa Haye Kaleesai
Aik Bhi Patti Agar Kam Ho To Woh Gul Hi NahinJo Khazan Na-Deedah Ho Bulbul, Woh Bulbul Hi Nahin
Woh Mast-e-Naaz Jo Gulshan Mein Ja Niklti HaiKali Kali Ki Zuban Se Dua Niklti Hai
“Elahi! Phoolon Mein Woh Intikhab Mujh Ko KareKali Se Rashak-e-Gul-e-Aftab Mujh Ko Kare”