Tere Hangamon Se Ae Diwana-e-Rangeen Nawa!Zeenat-e-Gulshan Bhi Hai, Araish-e-Sehra Bhi Hai
Misl-e-Boo-e-Gul Libas-e-Rang Se Uryan Hai TuHai Tu Hikmat Afreen, Lekin Tujhe Soda Bhi Hai
Husn-e-Azal Ke Parda-e-Lala-o-Gul Mein Hai NihanKehte Hain Be-Qarar Hai Jalwa-e-Aam Ke Liye
Magar Ati Hai Naseem-e-Chaman-e-Toor KabhiSimat-e-Gurdoon Se Hawaye Nafas-e-Hoor Kabhi
Na Ho Qinaat Shuar Gulcheen! Issi Se Qayam Hai Shan TeriWafoor-e-Gul Hai Agar Chaman Mein To Aur Daman Daraz Ho Ja
Iss Chaman Ko Sabaq Aaeene-e-Namoo Ka Dar KarQatra-e-Shabnam-e-Be-Maya Ko Darya Kar Dain
Nala-Kash Sheeraz Ka Bulbul Huwa Baghdad ParDagh Roya Khoon Ke Ansu Jahan-Abad Par
Gul Tabassum Keh Raha Tha Zindagaani Ko MagarShama Boli, Girya-e-Gham Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Chaman Mein Gulcheen Se Ghuncha Kehta Tha, Itna Bedard Kyun Hai InsanTeri Nigahon Mein Hai Tabassum Shakista Ho Na Mere Saboo Ka
Riyaz-e-Hasti Ke Zarre Zaree Se Hai Mohabbat Ka Jalwa PaidaHaqiqat-e-Gul Ko Tu Jo Samajhe To Ye Bhi Pema Hai Rang-o-Bu Ka
Kamal-e-Wahdat Ayan Hai Aesa Ke Nauk-e-Nashtar Se Tu Jo ChaireYaqeen Hai Mujh Ko Gire Rag-e-Gul Se Qatra Insan Ke Lahoo Ka
Jo Hai Baidar Insan Mein Woh Gehri Neend Sota HaiShajar Mein, Phool Mein, Haiwan Mein, Pathar Mein, Sitare Mein
Safina’ay Barg-e-Gul Bana Le Ga Qafla Moor-e-Natawan KaHazar Moujon Ki Ho Kashakash Magar Ye Darya Se Paar Ho Ga