Bhar Aye Phool Ke Ansu Payam-e-Shabnam SeKali Ka Nanha Sa Dil Khoon Ho Gya Gham Se
Chaman Se Rota Huwa Mousam-e-Bahar GyaShabab Sair Ko Aya Tha, Sogawar Gya
Badah Hai Neem Ras Abhi, Shuaq Hai Na-Rasa AbhiRehne Do Khum Ke Sar Pe Tum Khisht-e-Kaleesiya Abhi
Main Baghban Hun, Mohabbat Bahar Hai Iss KiBina Misal-e-Abad Paidar Hai Iss Ki
Jalwa-e-Toor Mein Jaise Yad-Baiza-e-KaleemMouja-e-Nukhat-e-Gulzar Mein Ghunche Ki Shamim
Hai Mere Bagh-e-Sukhan Ke Liye Tu Baad-e-BaharMere Betaab Takhiyyul Ko Diya Tu Ne Qarar
Shaukh Tu Ho Gi To Godi Se Utarain Ge TujheGir Gya Phool Jp Seene Ka To Marain Ge Tujhe
Jab Dikhati Hai Sehar Ariz-e-Rangeen ApnaKhol Deti Hai Kali Seena-e-Zarren Apna
Justujoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ae Bulbul MujheKhoobi-e-Qismat Se Akhir Mil Gya Woh Gul Mujhe
Khud Tarapta Tha, Chaman Ko Tarpata Tha MeinTujh Ko Jab Rangeen Nawa Pata Tha, Sharmata Tha Mein
Na-Muradi Mehfil-e-Gul Mein Meri Mashoor ThiSubah Meri Aaeena Dar-e-Shab-e-Dejoor Thi
Ab Taasar Ke Jahan Mein Woh Preshani NahinAhl-e-Gulshan Par Garan Meri Ghazal Khawani Nahin
Jis Ki Chamak Hai Paida, Jis Ki Mehak HawedaShabnam Ke Motiyon Mein, Phoolon Ke Pairhan Mein
Sehra Ko Hai Basaya Jis Ne Sukoot Ban KarHangama Jis Ke Dam Se Kashana-e-Chaman Mein