Chaman Ko Chor Ke Nikla Hun Misl-e-Nukhat-e-GulHuwa Hai Sabr Ka Manzoor Imtihaan Mujh Ko
Nazar Hai Abar-e-Karam Par, Darkht-e-Sehra HunKiya Khuda Ne Mohtaj-e-Baghban Mujh Ko
Banaya Tha Jise Chun Chun Ke Khar-o-Khs Main NeChaman Mein Phir Nazar Aye Woh Asiyan Mujh Ko
Nafas Se Jis Ke Khuli Meri Arzoo Ki KaliBanaya Jis Ki Marawwat Ne Nuktadan Mujh Ko
Riyaz-e-Dehr Mein Manind-e-Gul Rahe KhandanKe Hai Aziz Tar Az Jaan Woh Jaan-e-Jaan Mujh Ko
Shugufta Ho Ke Kali Dil Ki Phool Ho Jaye!Ye Iltijaye Musafir Qabool Ho Jaye!
Iss Chaman Mein Murgh-e-Dil Gaye Na Azadi Ka GeetAah! Ye Gulshan Nahin Aese Tarane Ke Liye
Kya Kahun Apne Chaman Se Main Juda Kyunkar HuwaAur Aseer-e-Halqa-e-Daam-e-Hawa Kyunkar Huwa
Tu Ne Dekha Hai Kabhi Ae Didah-e-Ibrat Ke GulHo Ke Paida Khak Se Rangeen Qaba Kyunkar Huwa
Phala Phula Rahe Ya Rab ! Chaman Meri Umeedon KaJigar Ka Khoon De De Kar Ye Boote Main Ne Pale Hain
Woh Mai Kash Hun Farogh-e-Mai Se Khud Gulzar Ban JaunHawaye Gul Faraq-e-Saqi-e-Na-Mehrban Tak Hai
Chaman Afroz Hai Sayyad Meri Khush Nawayi TakRhi Bijli Ki Be-Tabi, Sou Mere Ashiyan Tak Hai
Chupaya Husn Ko Apne Kaleem-Ullah Se Jis NeWohi Naz Afreen Hai Jalwa Pera Naaz Neenon Mein