Iss Chaman Mein Hon Ge Paida Bulbul-e-Sheeraz BhiSaikron Sahir Bhi Hon Ge, Sahib-e-Ijaz Bhi
Ae Jahan Abad, Ae Sarmaya-e-Bazm-e-Sukhan!Ho Gya Phir Aaj Pamal-e-Khazan Tera Chaman
Woh Gul-e-Rangeen Tera Rukhsat Misal-e-Bu HuwaAh! Khali Dagh Se Kashana-e-Urdu Huwa
Khul Nahin Sakti Shakayat Ke Liye Lekin ZubanHai Khazan Ka Rang Bhi Wajah-e-Qayam-e-Gulistan
Aik Hi Qanoon-e-Alamgeer Ke Hain Sub AsarBu-e-Gul Ka Bagh Se, Gulcheen Ka Dunya Se Safar
Chaman Mein Hukm-e-Nishat-e-Madam Layi HaiQabaye Gul Mein Guhr Tankne Ko Ayi Hai
Jo Phool Mehr Ki Garmi Se Sou Chale The, UtheZameen Ki Gode Mein Jo Par Ke So Rahe The, Uthe
Tujhe Jis Ne Chehak, Gul Ko Mehak DiUssi Allah Ne Mujh Ko Chamak Di
Hum Aahangi Se Hai Mehfil Jahan KiIss Se Hai Bahar Iss Bostan Ki
Asman-e-Subah Ki Aaeena Poshi Mein Hai YeSham Ki Zulmat, Shafaq Ki Gul Faroshi Mein Hai Ye
Sakinan-e-Sehan-e-Gulshan Ki Hum Awazi Mein HaiNanhe Nanhe Taeeron Ki Ashiyan Saazi Mein Hai
Adam Ko Qafila-e-Roz Taizgaam ChalaShafaq Nahin Hai, Ye Suraj Ke Phool Hain Goya
Agar Siyah Dalam, Dagh-e-Lala Zaar-e-TouwaamWagar Kushadah Jabeeneam, Gul-e-Bahar-e-Tawaam