Dil Ke Hai Betabi-e-Ulfat Mein Duniya Se NafoorKhanch Laya Hai Mujhe Hangama E Aalam Se Door
Ae Mye Ghaflat Ke Sermasto! Kahan Rehte Ho Tum?Kuch Kaho Uss Dais Ki Aakhir, Jahan Rehte Ho Tum
Iss Jahan Mein Ek Maeeshat Aur So Uftad HaiRooh Kya Uss Daes Mein Iss Fikar Se Azad Hai?
Wan Bhi Kya Faryad-e-Bulbul Per Chaman Rota Nahin?Iss Jahan Ki Tarah Wan Bhi Dard-e-Dil Hota Nahin?
Ghumkhana-e-Jahan Mein Jo Teri Zia Na HoIss Tafta Dil Ka Nakhle-e-Tamana Hara Na Ho
Kaam Dunya Mein Rahbari Hai MeraMisl-e-Khizr-e-Khajasta Pa Hun Main
Ae Aftab! Rooh-o-Rawan-e-Jahan Hai TuShiraza Band-e-Daftar-e-Kaun-o-Makan Hai Tu
Woh Aftab Jis Se Zamane Mein Noor HaiDil Hai, Khird Hai, Rooh-e-Rawan Hai, Shaur Hai
Bazm-e-Jahan Mein Main Bhi Hun Ae Shama! DardmandFaryad Dar Gira Sift-e-Dana-e-Sapand
Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gya Hun Ya Rab!Kya Lutf Anjuman Ka Jab Dil Hi Bujh Gya Ho
Azad Fikr Se Hon, Uzlat Mein Din GuzaronDunya Ke Gham Ka Dil Se Kanta Nikl Gya Ho
Gul Ki Kali Chatak Kar Paigham De Kisi KaSaghir Zara Sa Goya Mujh Ko Jahan Numa Ho
Shauq-e-Azadi Ke Dunya Mein Na Nikle HosleZindagi Bhar Qaid Zanjeer-e-Taaluq Mein Rahe
Basta-e-Rang-e-Khasusiat Na Ho Meri ZubanNoo-e-Insan Qoum Ho Meri, Watan Mera Jahan